Wednesday, April 22, 2020

Mu’ashre ko behtreen banane wale Allah ke 10 Ahkaam

Mu’ashre ko behtreen banane wale Allah ke 10 Ahkaam*

Tehreer :- Maulana Fazlur-rehmaan Ibn Muhammad Al-Zahri
Source:- Magazine Kitabo Sunnat(Hindi) Jamiat Ahle hadees Rajasthan September 2018

Allah تعالي Apni kitab Quran Mazeed me Surah An’am me Ayah number ( 151-153) me farmate hai :-


قُلْ تَعَالَوْا أَتْلُ مَا حَرَّمَ رَبُّكُمْ عَلَيْكُمْ ۖ أَلَّا تُشْرِكُوا بِهِ شَيْئًا ۖ وَبِالْوَالِدَيْنِ إِحْسَانًا ۖ وَلَا تَقْتُلُوا أَوْلَادَكُم مِّنْ إِمْلَاقٍ ۖ نَّحْنُ نَرْزُقُكُمْ وَإِيَّاهُمْ ۖ وَلَا تَقْرَبُوا الْفَوَاحِشَ مَا ظَهَرَ مِنْهَا وَمَا بَطَنَ ۖ وَلَا تَقْتُلُوا النَّفْسَ الَّتِي حَرَّمَ اللَّهُ إِلَّا بِالْحَقِّ ۚ ذَٰلِكُمْ وَصَّاكُم بِهِ لَعَلَّكُمْ تَعْقِلُونَ

6.151. Aap kahiye kay aao mein tum ko woh cheezen parh ker sunaon jin (yani jin ki mukhalifat) ko tumharay rab ney tum per haram farma diya hai woh yeh kay Allah kay sath kissi cheez ko shareek mat thehrao, aur maa baap kay sath ehsan kero, aur apni aulad ko aflaas kay sabab qatal mat kero.* Hum tum ko aur unn ko rizk detay hain, aur *bey hayaee kay jitney tareeqay hain unn kay pass bhi mat jao khuwa woh aelaaniya hon khuwa posheeda, aur jiss ka khoon kerna Allah Taalaa ney haram ker diya hai uss ko qatal mat kero* haan magar haq kay sath inn ka tum ko takeedi hukum diya hai takay tum samjho


وَلَا تَقْرَبُوا مَالَ الْيَتِيمِ إِلَّا بِالَّتِي هِيَ أَحْسَنُ حَتَّىٰ يَبْلُغَ أَشُدَّهُ ۖ وَأَوْفُوا الْكَيْلَ وَالْمِيزَانَ بِالْقِسْطِ ۖ لَا نُكَلِّفُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا ۖ وَإِذَا قُلْتُمْ فَاعْدِلُوا وَلَوْ كَانَ ذَا قُرْبَىٰ ۖ وَبِعَهْدِ اللَّهِ أَوْفُوا ۚ ذَٰلِكُمْ وَصَّاكُم بِهِ لَعَلَّكُمْ تَذَكَّرُونَ

6.152. Aur yateem kay maal kay pass na jao magar aisay tareeqay say jo kay mustehsan hai yahan tak kay woh apney sann rashd ko phonch jaye aur naap tol poori poori kero insaf kay sath hum kissi shaks ko uss ki taqat say ziyada takleef nahi detay. Aur jab tum baat kero to insaf kero* go woh shaks qarabat daar hi ho aur Allah Taalaa say jo ehad kiya uss ko poora kero* inn ka Allah Taalaa ney tum ko takeedi hukum diya hai takay tum yaad rakho



وَأَنَّ هَٰذَا صِرَاطِي مُسْتَقِيمًا فَاتَّبِعُوهُ ۖ وَلَا تَتَّبِعُوا السُّبُلَ فَتَفَرَّقَ بِكُمْ عَن سَبِيلِهِ ۚ ذَٰلِكُمْ وَصَّاكُم بِهِ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ

6.153. Aur yeh kay yeh deen mera raasta hai jo mustaqeem hai so iss raah per chalo aur doosri raahon per mat chalo kay woh raahen tum ko Allah ki raah say juda ker den gi. Iss ka tum ko Allah ney takeedi hukum diya hai takay tum perhezgari ikhtiyar kero


Tashreeh :-

Surah An’aam ki in teen ayah ke mutabik jis muashre me amal hoga woh duniya ka behtreen muashra ban jayga. Allah تعالي ne jin shaytaani amaal se in ayat se roka hai islaam se pehle woh duniya me tamam muashro me hote the. Allah ne sabse pehle apne deen e haq ke zariya arab ki islaah farmayi fir yahi islahi soch islaam ke sath duniya me fel gayi . Lekin jab ahle islaam ki quwwat zawaal pazeer hui to ahle duniya fir shaytaan ki pervi karte hue haq se dur hone lage aur mamnu(mana) wale kaamo se ragbat rakhne lage aur fitna wa fasaad ka silsila fir se rang dikhane laga.

Mandarza teen ayat ki Ehmiyat wa Wajahat :-

In ayat ke nuzul ke waqt Ahle Mecca ne Allah ke kayi shareek bana rakhe the. Halal wa Haram ki taqseem ka inhone apna kanoon naafiz kiya hua tha.Behayai wale tamam kaam yaha hote the .Qatl-o-garat ka riwaaj aam tha. Adl wa insaaf ka koi tawassur nhi tha . Quwwat wa Taqatwar wale jo chahte woh krte the. Allah ne us muashre ko burayi se bachane ke liye Ayah nazil farmayi .

Tafseer Ibn Kaseer me Abdullah bin Masood رضی اللہ عنہ ka qawl hai ke :- jo Rasulallah ﷺ ki is akhri wasiyat ko dekhna chahta hai jis par aap ﷺ ki muhar lagi hui hai toh in 3 ayah ko padh le.

Tafseer Tabari aur Mustadarak Al Hakim (2/317) me ibn Abbas رضی اللہ عنہ se manqool hai ke :- Surah An’aam me esi moh’kkam ayat hai jo imamul kitaab yani qurani qanoon ki asal buniyaad hai. Fir uhhone yeh 3 ayat ki tilawat ki.

Mustadrik al Hakim me (2/318) me Ubadah bin Samit رضی اللہ عنہ se marvi hai ke Rasululallah ﷺ ne ek mauqe par farmaya kon hai jo in ayat par mujh se bait kare . Fir aap ﷺ ne yeh 3 ayat padhne ke baad farmaya :- jo in baat ka iqraar karte hue in ke mutabik amal kare Allah par us ka ajr sabit ho jayga aur jo tamil kohtahi ka murtakib hoga mumkin hai Allah usko duniya me hi saza de aur us ko akhirat tak mokhir karde to uski marj hai use azab me mubtala karde ya muaaf karde.

Ubadah ibn Samit se yeh bhi marvi hgaike Aap ﷺ ne farmaya kon hai jo shirk na karne par mujhse bait kare kyuki shirk hi esa amal hai ke agar mushrik tauba nhi karta aur shirk par uski maut waqiye hojati hai to jannat me dakhil hona us ko naseeb nhi hoga.


Ayah Kareema me woh 10 ahkaam jinhe Allah ne nazil farmaye :-

1) Allah ke sath shirk na karna


iski wajahat Allah ne khud surah nissa me ayah 116 me aur farmayi hai

إِنَّ اللَّهَ لَا يَغْفِرُ أَن يُشْرَكَ بِهِ وَيَغْفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَن يَشَاءُ ۚ وَمَن يُشْرِكْ بِاللَّهِ فَقَدْ ضَلَّ ضَلَالًا بَعِيدًا


4.116. Ussay Allah Taalaa qatan na bakshay ga kay uss kay sath shareek muqarrar kiya jaye haan shirk kay ilawa gunah jiss kay chahaye moaf farma deta hai aur Allah kay sath sharik kerney wala boht door ki gumrahi mein jaa para

2) Walidayn ke sath Ehsaan Karna :-

وَوَصَّيْنَا الْإِنسَانَ بِوَالِدَيْهِ حَمَلَتْهُ أُمُّهُ وَهْنًا عَلَىٰ وَهْنٍ وَفِصَالُهُ فِي عَامَيْنِ أَنِ اشْكُرْ لِي وَلِوَالِدَيْكَ إِلَيَّ الْمَصِي

وَإِن جَاهَدَاكَ عَلَىٰ أَن تُشْرِكَ بِي مَا لَيْسَ لَكَ بِهِ عِلْمٌ فَلَا تُطِعْهُمَا ۖ وَصَاحِبْهُمَا فِي الدُّنْيَا مَعْرُوفًا ۖ وَاتَّبِعْ سَبِيلَ مَنْ أَنَابَ إِلَيَّ ۚ ثُمَّ إِلَيَّ مَرْجِعُكُمْ فَأُنَبِّئُكُم بِمَا كُنتُمْ تَعْمَلُونَۖ



31.14. Hum ney insan ko uss kay maa baap kay mutalliq naseehat ki hai uss ki maa ney dukh per dukh utha ker ussay hamal mein rakha aur uss ki doodh chraee do baras mein hai kay tu meri aur apnay maa baap ki shukar guzari ker (tum sab ko) meri hi taraf lot ker aana hai.


31.15. Aur agar woh dono tujh per iss baat ka dabao daalen kay tu meray sath shareek keray jiss ka tujhay ilm na ho to tu unn ka kehna na manna haan duniya mein unn kay sath achi tarah basar kerna aur uss ki raah chalna jo meri taraf jhuka hua ho tumhara sab ka lotna meri hi taraf hai tum jo kuch kertay ho iss say phir mein tumhen khabardaar ker doon ga.

In ayat mubarika me Mushrik walidayn ki khidmat ka hukm diya hai yani deen ke ikhtelaaf ki bina par unki dekh baal tark nhi ki jaygi.

Jab Walidayn nek ho neki ki taraf lagane aur shirk se bachne ki talqeen karne wale ho to unki nafarmani gunah kabira ki surat ikhtiyaar kar jati hai. Jesa ki sahi bukhari Baab huqooq-al-walidayn me Abu bakr رضی اللہ عنہ se marvi hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaya ke me tumhe kabira gunaho me sab se bade gunaho ke bare me khbar na du ? Sahaba رضی اللہ عنہ ne arz kiya zarur irshaad farmaye App ﷺ ne farmaya Allah ke sath shirk karna aur walidayn ki nafarmani karna ..

Baap ke bare me Tirmizi me (2/20) me Abdullah bin Umar رضی اللہ عنہ se marvi hai Rasulullah ﷺ ne farmaya :- Rabb ki raza Baap ki raza me hai aur Rabb ki narazgi Baap ki narazgi me hai .

3) Aulaad ko qatl karna :- (Abortion karwalena )

Teesra hukm Aulaad ko muflisi ke darr gareebi ke darr ki wajh se qatl karne ki mumaniyat hai. Ahle Arab muflisi wa faaqe ke khauf se ya izzat ke daag daar hone ke darr se apni aulaad ko qatl kar diya karte the. Allah تعالي ki nemato me se azeem nemat ne swaleeh aulaad hai. Jo walidayn ki zindagi ki khidmat karti hai aur unke faut hone par unke liye sadqa zariya ban jatti hai aur nasle insaani ko aage badhane kme ahem kirdar ada karti hai aulaad ko qatl karne wale shaitani amal ko Allah khataye kabeera farmayaha rahi baat rizqki tangi ki to Rabbulalameen ne har jiiruh ke rizq ka jimma le rakha hai jo insaan paida hota haiuskarizuske sath hiata haijo uski zindagi me jaha hota hai use pohchata hai

Mustradrik al Hakim (2/2284) me Ayesha رضی اللہ عنہ se marvi hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaya :- behsaq tumhari Aulaad Allah ki taraf se Tohfa hai.

Lehaza Allah ke tohfe ko zaya karne aur use qatl karne se bada gunah kya hoga ?

4) Zahiri Aur Posheedi Fahashi se Bacho

Ahle Arab khule aam zina ko acha nhi samjhte the lekin posheedi zina par koi aitraaz nhi hota tha. Ajeeb baat yeh hai ke toraat aur injeel me bhi zina Haram hai. Quran me Allah تعالي ne isko haram kaamo me shumaar kara hai

وَلَا تَقْرَبُوا الزِّنَا ۖ إِنَّهُ كَانَ فَاحِشَةً وَسَاءَ سَبِيلًا

17.32. Khabrdaar zinna kay qareeb bhi na phatakna kiyon kay woh bari bey hayaee hai aur boht hi buri raah hai


surah ankaboot me Allah تعالي ne woh bayan kara jo loot عليه السلام ne apni qaum se kaha :
وَلُوطًا إِذْ قَالَ لِقَوْمِهِ إِنَّكُمْ لَتَأْتُونَ الْفَاحِشَةَ مَا سَبَقَكُم بِهَا مِنْ أَحَدٍ مِّنَ الْعَالَمِينَ

29.28. Aur hazrat loot (alh-e-salam) ka bhi ziker kero jabkay unhon ney apni qom say farmaya kay tum to iss bad-kaari per utar aaye ho jissay tum say pehlay duniya bhar mein say kissi ney nahi kiya

Surah Aeraaf me Allah تعالي ne Apne nabi ﷺse elaan kardiya :_

قُلْ إِنَّمَا حَرَّمَ رَبِّيَ الْفَوَاحِشَ مَا ظَهَرَ مِنْهَا وَمَا بَطَنَ


aap farmaiye kay albatta meray rab ney sirf haram kiya hai inn tamam fahash baaton ko jo ailaaniya hain aur jo posheeda hain

Allah تعالي ko malum tha ummat e Muhammadiya me bhi yeh bimari felegi isliye Allah ne surah an-noor me farmaya :


إِنَّ الَّذِينَ يُحِبُّونَ أَن تَشِيعَ الْفَاحِشَةُ فِي الَّذِينَ آمَنُوا لَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ ۚ وَاللَّهُ يَعْلَمُ وَأَنتُمْ لَا تَعْلَمُونَ


24.19. Jo log musalmano mein bay hayaee phelaney kay aarzoo mand rehtay hain unn kay liye duniya aur aakhirat mein dard-naak azab hain Allah sab kuch janta hai aur tum kuch bhi nahi jantay.



Ese Logo ko chahiye woh yeh yaad rakhe ke Loot عليه السلام ke qaum ke sath kya hua jesa surah hud me Allah تعالي irshaad fermata ha :-

فَلَمَّا جَاءَ أَمْرُنَا جَعَلْنَا عَالِيَهَا سَافِلَهَا وَأَمْطَرْنَا عَلَيْهَا حِجَارَةً مِّن سِجِّيلٍ مَّنضُودٍ


11.82. Phir jab humara hukum aa phoncha hum ney uss basti ko zair-o-zabar ker diya upper ka hissa neechay ker diya aur unn per kankreelay pathar barsaye jo teh ba teh thay.

Islaam ne shadi shudah zaani ko rajm karne ka hukm diya hai aur kunware zaani ko 100 kode marne ka hukm diya hai



5) Kisi ko na-haq qatl na karo :-



Taqatwar logo ka hamesha mamul raha hai ke jo unki marji ke mutabiq amal nhi karta ya unkjekisi amal me rukawat ka sabab banta hai usko qatl karna unke nazdeek haq hota hai . hala ke Allah khalik wa malik ke nazdeek har jaan badi azeez hoti hai Surah Maida me is silsile me Allah تعالي ka irshaad hai

أَنَّهُ مَن قَتَلَ نَفْسًا بِغَيْرِ نَفْسٍ أَوْ فَسَادٍ فِي الْأَرْضِ فَكَأَنَّمَا قَتَلَ النَّاسَ جَمِيعًا

jo shaks kissi ko baghair iss kay, kay woh kissi ka qatil ho ya zamin mein fasaad machaney wala ho qatal ker daalay to goya uss ney tamam logon ko qatal ker diya

Jis deen ki yeh taalim ho aur uska esa kanun ho jisme koi kisi par jyadati na kar sake us deen ko dehshatgardi ka mazhab keh kar usko karne karne yya masakh karne ke darpe kuwwate apne girebaanme jhakne ki taqleefgawara une nhi karti.

6) Yateemo ka maal na khaao


Agar kisi ke pass yateem ka maal hai to woh usko khaye na balqe amanat samjhte hue uski hifazat kare agar woh sahib e sharwat hai to unke aal se kuch na le aur agar woh khud bhi mohtaaj hai to unke maal me se itna le jo uski zarurat ko pura karne wala ho. Jese hi yateem apne maal ki hifazat karne ke qabil ho jaye to unka maal unke hawale kardiya jaye. Allah تعالي quran me fermata hai :-

إِنَّ الَّذِينَ يَأْكُلُونَ أَمْوَالَ الْيَتَامَىٰ ظُلْمًا إِنَّمَا يَأْكُلُونَ فِي بُطُونِهِمْ نَارًا ۖ وَسَيَصْلَوْنَ سَعِيرًا


4.10. Jo log na haq zulm say yateemon ka maal kha jatay hain woh apney pet mein aag hi bhar rahey hain aur un qarib woh dozakh mein jayen gay.



7) Naaptol pura rakho :-

Ahle arab me yeh bimaari thi ki koi cheej logo se khareed te ya karobari len den karte to naap tol pura lete lekin wohi kuch khud farokht karte to naap tol me kami kardete .

Tafseer tabari (30/91) me ibn Abbas رضی اللہ عنہ se rivayat hai ke Rasulullah ﷺ jab hijrat karke Madina tashreef laaye to us waqt waha ke log naaptol ke muamle me bohut bure the lekin jab surah mutaffin nazil hi to woh bilkul sahi ho gye.

Shoaib عليه السلام ki qaum ki tabahio ke asbaab me se ek sabab shirk ke sath naaptol me hera pheri ki bi adat bhi thi surah aeyraaf Surah hud aur surah as-shura me un par nazil hone wale azaab ki kefiyat bayan hui hai woh ek zalzala tha woh ek cheej thi aur woh azaab tha jisse woh ghutno kebal ho gye,

8) Baat karo insaaf ke sath karo

Ayat karema me ek hukm hai ke jab bhi koi baat karo to insaaf karo yeh nhi ke kisi ke paksh me aake ya rishtedaaro ke dekh kar galat baat keh do ya jhut boldo

Quran me Allah swt farmate hai –


سورة المائدة (5.8)
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُونُوا قَوَّامِينَ لِلَّهِ شُهَدَاءَ بِالْقِسْطِ

Aey eman walo! Tum Allah ki khatir haq per qaeem hojao raasti aur insaf kay sath gawahi denay walay bann jao

Aur ek aur jagah Farmaya :-
سورة النساء (4.135)
۞ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُونُوا قَوَّامِينَ بِالْقِسْطِ شُهَدَاءَ لِلَّهِ
ey eman walo! Adal-o-insaf per mazbooti say jamm janey walay aur khushnoodi-e-maula kay liye sachi gawahi denay walay bann jao

In ayat se wajeh taur par yeh samjh ata hai Ke Allah تعالي hukm deta hai ke adl o insaaf par mazbuti se jame raho issse se ek aanch bhi idhar udhar na bhatko aisa na ho ke kisi ke darr ki wajah se ya lalach ke binah par ya kisi par reham kha kar ya sifarish se adl o insaaf chod betho.


9) Aulaad ke darmiya Adl Insaaf karna


Imam Bukhari رحمه الله apni kitab me hadees naql karte hai :- Naumaan bin Basheer kehte hai ke un ke walid unhe Rasulallah ﷺ ki khidmat me laaye aur arz kiya ke me ne apne bete ko ek gulaam bator hiba(gift) diya hai. Rasulallah ﷺ ne dariyaft Farmaya ke kya aisa hi ghulaam apne dusre ladko ko bhi diya hai ? unhone kaha ki "Nahi" to Rasulallah ﷺ ne Farmaya ki phir uss se bhi wapas le lo.

Isi tarah ek aur rivayat hai ke.. Allah تعالى se daro aur apni aulaad ke darmiyan adl karo (Muttafq alayh)

Naumaan bin Basheer se hi marvi hai Rasulallah ﷺ 3 baar Farmaya اعدلوا بين اولادكم Apni aulaad ke darmiyan insaaf karo (Sahi Abu Dawood 3544)

Aur kya khoob ho ke Adl walo ke sath Allah muhabbat kare

Quran me Allah تعالي farmate hai

إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ الْمُقْسِطِينَ

yaqeenan adal walon kay sath Allah mohabbat rakhta hai.

Apne feslo me Adl wa insaaf karo

إِنَّ الْمُقْسِطِينَ عِنْدَ اللَّهِ عَلَى مَنَابِرَ مِنْ نُورٍ عَنْ يَمِينِ الرَّحْمَنِ عَزَّ وَجَلَّ وَكِلْتَا يَدَيْهِ يَمِينٌ الَّذِينَ يَعْدِلُونَ فِي حُكْمِهِمْ وَأَهْلِيهِمْ وَمَا وَلُوا

Abdullah bin Amr رضی اللہ عنہ ne kaha nabi e kareem ﷺ ne farmaya “Adl karne wala Allah key yaha rehmaan Ajwajal ki daayi(right) janib noor ke mimbaron par honge yeh wohi log honge jo apne feslo apne ahle ayal aur jinke yeh jimme dar hai unke muamle me adl (insaaf) karte hai (Sahi Muslim)



9) Allah ke ahad (wade) ko pura karo

Yani Allah تعالي ne jo naseehat ki hai us ko pura karo aur uss ki ita’aat karo aur Kitab aur sunnat E Rasool par amal karo. Yahi farmaan tumhare wa’az wa naseehat la zariya hai taaqe tum jo iss se pehle nikamme balqe burekaamo me the ab unse alag ho jao.


10) siraat e mustaqeem par chalna aur shaytani raasto se dur hona

Is qism ki ayato me Allah تعالي ne momino ko huk diya hai ke jamaat ko na chodo jamaat me ikhtelaaf se bacho pehle ke log deen ke bare me ladai jhagda karte the ikhtelaaf bohut paida karte the aur isi se tabah hue hai.

Musnad Ahmed me hai ke Rasulullah ﷺ ne zameen me ek seedhi lakeer khichi aur farmaya :- Allah ki seedhi raah hai phir is ke daaye baaye aur lakere khichi aur farmaya : in tamam raho par shaytaan hai jo apni taraf bula raha hai phir Aap ﷺ ne yeh ayat ka hissa tilawat farmaya ( Musnad Ahmed 1/465 Hasan)


Aap jab is ayat ke lafzo me gaur karenge to payenge ke *“ Apni raah ke liye” yeh lafz «سَبِیلِ» jo wahid (singular) bola gya hai yani Allah ki raah ek hai aur «سُّبُلَ» jama (plural) jama ka lafz hai yani gumrahi wale raste bohut se hote hai.*

Allah hume in 10 bato par amal ki toufeeq de .

Wa akhirud dawana walhamdullilahi rabbil alameen

Jazakallakh khaira

Bimaar ki Iyadat

بسم الله الرحمن الرحيم

Bimaar ki Iyadat

Hamara koi bhai jab bimar ho to hame uski iyadat karni chahiye uske paas jakar uski khair khabar puchni chahiye.

Hadees:- (Sahi Muslim 2162)

Abu Huraira رضي الله عنه se marvi hadees hai ke musalam ke musalmaan par 6 huqooq hai

" حَقُّ الْمُسْلِمِ عَلَى الْمُسْلِمِ سِتٌّ ". قِيلَ : مَا هُنَّ يَا رَسُولَ اللَّهِ ؟ قَالَ : " إِذَا لَقِيتَهُ فَسَلِّمْ عَلَيْهِ، وَإِذَا دَعَاكَ فَأَجِبْهُ، وَإِذَا اسْتَنْصَحَكَ فَانْصَحْ لَهُ، وَإِذَا عَطَسَ فَحَمِدَ اللَّهَ فَشَمِّتْهُ، وَإِذَا مَرِضَ فَعُدْهُ، وَإِذَا مَاتَ فَاتَّبِعْهُ

1) jab usse mile to salaam kar
2) jab woh tuje dawat de to qabool kar
3) jab woh tujse khair khawahi talab kare to tu uski khair khawahi kar
4) jab woh cheenkhe (sneezing) aur Alhamdulillah kahe to tu dua kar yani yar-hamukallah kaho
5) jab woh beemar ho jaye to uski iyadat karo
6) aur jab woh faut ho jaye to uske janaze me shareeq ho

Aur dusri Rivayat me hai ke Abu Musa Ashari رضي الله عنه se marvi hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaya:-

عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ : " أَطْعِمُوا الْجَائِعَ، وَعُودُوا الْمَرِيضَ، وَفُكُّوا الْعَانِيَ "

Bhuko ko khana khilao , mareez ki iyadat karo, qaidiyo ko chudao

(Sahi Bukhari 5373)

Aap ﷺ ne na sirf iss bat ki talqeen ki balqe karke bhi dikhaya hai jesa ki Jabir bin Abdullah رضي الله عنه kehte hai :-

مَرِضْتُ مَرَضًا، فَأَتَانِي النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَعُودُنِي وَأَبُو بَكْرٍ،

Me ek dafa bimaar hua to mere pass Rasulullah ﷺ aur Hazrat Abu Bakar رضي الله عنه iyadat ke liye tashreef laaye

(Sahi Bukhari 5651)


Iyadat karne ke faide


مَنْ عَادَ مَرِيضًا لَمْ يَزَلْ فِي خُرْفَةِ الْجَنَّةِ حَتَّى يَرْجِعَ

Iyadat karne wala ba-waqt iyadat mewah-zaar me hota hai (Sahi Muslim 2568)

Iyadat karne wale par rehmat ilahi ka nuzool hota hai nez uske liye farishte dua karte hai

Hadees :-

مَنْ أَتَى أَخَاهُ الْمُسْلِمَ عَائِدًا مَشَى فِي خِرَافَةِ الْجَنَّةِ حَتَّى يَجْلِسَ، فَإِذَا جَلَسَ غَمَرَتْهُ الرَّحْمَةُ، فَإِنْ كَانَ غُدْوَةً صَلَّى عَلَيْهِ سَبْعُونَ أَلْفَ مَلَكٍ حَتَّى يُمْسِيَ، وَإِنْ كَانَ مَسَاءً صَلَّى عَلَيْهِ سَبْعُونَ أَلْفَ مَلَكٍ حَتَّى يُصْبِحَ ".

Jo apne musalmaan bhai ki iyadat ke liye araha ho to woh jannat me chal rha hai yaha tk ke beth jaye aur jab woh beth jaye to rehmat usko dhaanp leti hai , agar subh ka waqt ho to shaam tk farishte uske liye rehmat wa bakshish ki dua karte hai aur agar sham ka waqt ho to subh tk 70hazar farishte uske liye dua karte hai .
(Sunan ibn majah 1442)

Iyadat karne wale ke liye jannat me ek ghar banaya jata hai

Hadees :-

مَنْ عَادَ مَرِيضًا نَادَى مُنَادٍ مِنَ السَّمَاءِ : طِبْتَ، وَطَابَ مَمْشَاكَ، وَتَبَوَّأْتَ مِنَ الْجَنَّةِ مَنْزِلًا ".

Abu Huraira رضي الله عنه se rivayat hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaya

Jo kisi bimaar ki iyadat kare to asmaan se ek farishta elaan karta hai ke tumne khoob Kiya aur tumhara chalna bhi pasandidah hai aur tumne jannat me ghar bana liya.

(Sunan Ibn majah 1443)

Iyadat na karne ka nuksaan

إِنَّ اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ يَقُولُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ : يَا ابْنَ آدَمَ مَرِضْتُ فَلَمْ تَعُدْنِي. قَالَ : يَا رَبِّ، كَيْفَ أَعُودُكَ وَأَنْتَ رَبُّ الْعَالَمِينَ ؟ قَالَ : أَمَا عَلِمْتَ أَنَّ عَبْدِي فُلَانًا مَرِضَ فَلَمْ تَعُدْهُ، أَمَا عَلِمْتَ أَنَّكَ لَوْ عُدْتَهُ لَوَجَدْتَنِي عِنْدَهُ ؟

Allah سبحانه وتعالى Qayamat ke din farmayga Aey Ibn Adam! Me bimaar hua aur tune meri iyadat nhi kari woh kahega Aey parwadigaar me teri iyadat kese karta halanke tu rabbul-alameen hai. Allah farmayga kiya tu nhi janta ki mera fala banda bimaar tha aur tune uski iyadat nhi ki , kiya tu nhi janta agar tu uski iyadat karta to muje tu uske pass pata .

(Sahi Muslim 2569)


Ab raha sawaal yeh ke iyadat kese karna chahiye ? Dauran iyadat hume kiya karna chahiye ? Aap ﷺ ne agar hume iyadat ki talqeen ki hai to iyadat ka tareeqa bhi btaya hoga , bimaar ke pass jaaye to hum kiya kare kya na kare ?

Is silsile me Rasulullah ﷺ ne hamari rehnumayi ki hai


1) Bimaar par dum kare

Jab Nabi ﷺ bimaar hue to Aap ﷺ ke pas Jibraeel Ameen aaye aur un par dum kiya jesa Hazrat Abu Saeed khudri رضي الله عنه se rivayat hai :-

أَنَّ جِبْرِيلَ أَتَى النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ : يَا مُحَمَّدُ، اشْتَكَيْتَ ؟ فَقَالَ : " نَعَمْ ". قَالَ :

Jibraeel Nabi ﷺ ke pass aaye aur farmaya Aey Muhammad Kiya aap bimaar hai ? Aap ﷺ ne kaha haan . Jibraeel ne kaha :-

بِاسْمِ اللَّهِ أَرْقِيكَ، مِنْ كُلِّ شَيْءٍ يُؤْذِيكَ، مِنْ شَرِّ كُلِّ نَفْسٍ، أَوْ عَيْنِ حَاسِدٍ اللَّهُ يَشْفِيكَ، بِاسْمِ اللَّهِ أَرْقِيكَ.

Mein Allah ke naam se aapko har takleef dene wali cheej se har khabees nafs ki burayi se aur har hasad karne wale ki nazar se dum karta hu me Allah ke naam se aap ko dum karta hu Allah apko shifa ata farmaye

(Sahi Muslim 2186)

Isi tarah jab Sabit Al-banani رحمه الله bimaar hue to Anas رضي الله عنه ne un par dum kara aur yeh kalimat kahe :-

اللَّهُمَّ رَبَّ النَّاسِ، مُذْهِبَ الْبَاسِ، اشْفِ أَنْتَ الشَّافِي، لَا شَافِيَ إِلَّا أَنْتَ، شِفَاءً لَا يُغَادِرُ سَقَمًا.

Aey Allah logo ke paalne wale isse takleefo ko dur karne wale shifa ata farma kyuki tere bagair koi shifa dene wala nhi esi shifa ata farma ke koi bimaar na rahe.

(Sahi Bukhari 5742)

2) Bimaar ki shifa ke liye dua kare.

Aap ﷺ ka yeh ma'mul tha ki jab kabhi aap kisi bimaar ki iyadat ke liye jaate to uske liye shifa ki dua karte

Ba-waqt iyadat Aap ﷺ se ek dua :-

Hadees :- ( Sunan Abu Dawood 3106)

Hazrat Ibn Abbas رضي الله عنه se rivayat hai ki Rasulullah ﷺ ne farmaya :-

مَنْ عَادَ مَرِيضًا لَمْ يَحْضُرْ أَجَلُهُ، فَقَالَ عِنْدَهُ سَبْعَ مِرَارٍ

Jo shaqs kisi bimaar ki iyadat ke liye jaaye to USS ke pass beth kar yeh dua 7 martaba padhe :

أَسْأَلُ اللَّهَ الْعَظِيمَ رَبَّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ أَنْ يَشْفِيَكَ، إِلَّا عَافَاهُ اللَّهُ مِنْ ذَلِكَ الْمَرَضِ ".

Me Allah se darkhwast karta hu jo azmat wala hai aur badi azmat wale arsh ka malik hai woh tujko shifa ata farmaye.

agar abhi iss ki maut ka waqt nhi aya hai to Allah ta'la iss ko iss marz se sehat Ata farmayga

Ek dusri Dua

لَا بَأْسَ، طَهُورٌ إِنْ شَاءَ اللَّهُ ".

Aap ﷺ ne ek dehati ki iyadat ke waqt yeh dua padhi jesa ki ibn Abbas se marvi hai.

(Sahi Bukhari 3116)

3) Iyadat karne wala apna hath us bimaar shaqs ke jism par phere


jesa ki Aisha رضي الله عنها ki rivayat hai :-

كَانَ يُعَوِّذُ بَعْضَ أَهْلِهِ، يَمْسَحُ بِيَدِهِ الْيُمْنَى وَيَقُولُ

Aap ﷺ ne ta'wooz padh kar apni ba'az biwiyo ke takleef ke muqaam par apna daya hath pherte aur farmate :-

اللَّهُمَّ رَبَّ النَّاسِ، أَذْهِبِ الْبَاسَ، اشْفِهِ وَأَنْتَ الشَّافِي، لَا شِفَاءَ إِلَّا شِفَاؤُكَ، شِفَاءً لَا يُغَادِرُ سَقَمًا

Aey Allah ! Logo ke parwadigaar ! takleef dur kar iss ko shifa de aur tu shifa dene wala hai shifa teri hi hai esi shifa jo bimar ko na chode.

(Sahi Bukhari 5743)

4) Hath pherne ke sath sath bimar shaqs ko tasalli bhi de ke iss bimar me aapko azr milega

Hazrat Ayesha binte sa'ad rivayat karti hai ke unke walid sa'ad ibn abi waqas رضي الله عنه kka bayan hai ke me mecca me bimar hua to rasulullah ﷺ ne meri iyadat ke liye tashreef laye fir mere seene aur peeth par hath phera aur farmaya :-

أَبَاهَا قَالَ : اشْتَكَيْتُ بِمَكَّةَ، فَجَاءَنِي النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَعُودُنِي، وَوَضَعَ يَدَهُ عَلَى جَبْهَتِي، ثُمَّ مَسَحَ صَدْرِي وَبَطْنِي، ثُمَّ قَالَ : " اللَّهُمَّ اشْفِ سَعْدًا، وَأَتْمِمْ لَهُ هِجْرَتَهُ

Aey Allah sa'ad ko shifa ata farma aur iski hijrat puri farma(yani isse medina pohucha de

(Sunan Abu Dawood 3104

5) Bimar ke samne achi baat karo

Hadees:-

إِذَا حَضَرْتُمُ الْمَرِيضَ، أَوِ الْمَيِّتَ، فَقُولُوا خَيْرًا، فَإِنَّ الْمَلَائِكَةَ يُؤَمِّنُونَ عَلَى مَا تَقُولُونَ ". قَالَتْ : فَلَمَّا مَاتَ أَبُو سَلَمَةَ، أَتَيْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَقُلْتُ : يَا رَسُولَ اللَّهِ، إِنَّ أَبَا سَلَمَةَ قَدْ مَاتَ، قَالَ : " قُولِي :

Rasulullah ﷺ ne farmaya :- jab tum bimaar ya maiyyat ke pass jao to achi baat kaho kyu ki farishte tumhari baat par aameen kahenge .

Jab abu salma faut hue to Nabi ﷺ tashreef laaye to mene arz kiya ya Rasulullah ﷺ abu salama ka inteqaal ho gya Aap ﷺ ne farmaya

:-اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَلَهُ، وَأَعْقِبْنِي مِنْهُ عُقْبَى حَسَنَةً ". قَالَتْ : فَقُلْتُ، فَأَعْقَبَنِي اللَّهُ مَنْ هُوَ خَيْرٌ لِي مِنْهُ ؛ مُحَمَّدًا صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ.

Aey Allah mujhe aur isko muaaf farma de aur muje isse acha badla ata farma.

(Sahi Muslim 919)
-Ahl-us-sunnah Magazine Mumbai March 2019

"الإسلام يَعلو ولا يعلى Islam Maghloob Nahi Balki Ghalib Hoga"

By: Mohaddis As Shaikh Zubair Ali Zai Rahimahullah Allah par yaqeen ki haqeeqat kamzoori aur museebato ke daur me zaahir hoti hai. Saah...