Sunday, April 19, 2020

"الإسلام يَعلو ولا يعلى Islam Maghloob Nahi Balki Ghalib Hoga"

By: Mohaddis As Shaikh Zubair Ali Zai Rahimahullah

Allah par yaqeen ki haqeeqat kamzoori aur museebato ke daur me zaahir hoti hai. Saahibe Yaqeen woh shakhs nahi hai jo islam ki quwwat, musalmano ke ghalbe aur fatah ki khush khabriyo par bahot zyadah khush ho jaye, khushi se us ka chehra chamakne lage aur dil kushadah ho jaye lekin musalmano ki kamzori aur museebato ke waqt sakht pareshan ho kar mayoos aur na ummeed ho jaye.

Allah Ta'ala par sachcha yaqeen rakhne wale ki haalat ye hoti hai ki jab museebato aur gham ki ghatatop andhere chha jayen, islam dushman qaume musalmano par toot pade, shadeed tangi aur masayeb chaaro taraf se gher lein to us ka Allah par yaqeen aur Imaan aur zyadah ho jata hai. Woh zarra barabar bhi nahi ghabrata kyunki woh janta hai ki aakhri fatah musalmano ki hai aur Deen e islam ne ghaalib ho kar rehna hai. Mujaahid ki har waqt yahi koshish hoti hai ki Allah ki zameen par Allah ka deen ghaalib ho jaye lihaaza is Azeem maqsad ke liye woh hamesha sabr aur yaqeen par kaarbandh rehta hai. Hafiz Ibn Al Qayyim Rahimahullah farmate hain ki: Mai ne Shaikhul Islam ibne Taymiyyah Rahimahullah ko ye farmate hue suna: "Sabr Aur Yaqeen ke sath deen ki Imamat haasil hoti hai. Fir unhone yeh Aayat tilawat farmayi Aur hum ne Unhe deen ki taraf Rehnumayi karne wale Imam banaya kyunki woh sabr Karte the aur hamari ayato par yaqeen rakhte the". (Surah Sajdah 24)

Madaarij As Saakileen La Ibn Al Qayyim Vol 2 page 154

Insaan ko Sabse eham chiz jo ataa ki gai hai wo yaqeen hai. Nabi  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ka irshaad hai ki:

 وسلوا الله اليقين والمعافاة، فإنه لم يؤت أحد بعد اليقين خيراً من المعافاة
Allah se yakeen aur aafiyat (Sehat aur khairiyat) ki dua maango kyunki kisi ko bhi yaqeen ke baad aafiyat se behtar koi cheez ataa nahi ki gai.

Ibn Majah 3849 sanad sahih, Sahih ibn hibban Al Ahsan 948 Al haakim Vol 1/529

Yeh ummat sirf us waqt tabaah aur barbaad hogi jab Musalman Deen e Islam ke liye apni koshishe tark karke, amal ke begair hi Shaikh chilli jaisi ummeede bandh kar baith jaenge.
Allah hi Aalimul Ghaib hai. Hame kya pata ki madad kab aayegi aur kab khair ka daur daurah hoga? hum to sirf ye jante hain ki hamari ummat Allah ke Azn se ummate khair  hai. Allah Ta'ala musalmano ki madad farmayenge agarche is me kuch der lag jaye.
Hame maloom nahi ki kon si nasl ke zariye Allah swt museebato ki ghanghor ghataye door farma kar is ummat ko sar buland kar dega lekin hum yeh jante hain ki ek din aisa zaroor hoga.

Pyare Nabi  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ka irshad hai:

  لا يزال الله يغرس في هٰزا الدين غرساً يستعملهم فيه بطاعته إلٰى يوم القيامة
Allah Ta'ala qayamat tak deen islam me aise log paida karta rahega jo us ki ita'at karte rahenge.

Ibn Majah 08 sanad hasan Sahih Ibne Hibban Al Muwarid 88

Ahadees Nabawiyyah me bahot si Khush khabriya di gai hain jin se yaqeen aur khush umeedi me izaafa hota hai. Isi me se Allah ka ye waada hai ki ummate Muslima ki hukumat Mashriq aur maghrib takk fayl jayegi. Duniya me aise bahot se ilaaqe hain jo abhi tak musalmano ke hatho par fateh nahi hue aur ek din aisa aane wala hai jab yeh ilaaq bhi fatah ho kar Mulq e Islam me daakhil ho jaenge. In sha Allah

Hadees me aaya hai ki Aap  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne farmaya:

 زوى لي الأرض فرأيت مشارقها ومغاربها وإن أمتي سبيلغ ملكها ما زوي لي منها
Allah Ta'ala ne saari zameen ikatthi kar ke mujhe dikhayi, Mai ne tamaam Mashriq aur maghribi ilaaqe dekh liye. Beshaq meri ummat ki hukumat waha tak pahonch jayegi jo mujhe dikhaya gaya hai.

Sahih Muslim 2889

Jab Hamein maloom ho gaya ki Islam ne duniya me ghaalib ho kar rehna hai to hum kisi khaas daur me Musalmano ki kamzori par kyu na ummeed hon?
Saydna Abdullah Ibn Abbas رضى اللٰه عنه ne farmaya:

 الاسلام يعلو ولا يعلٰى
Islam Ghaalib hoga aur Maghloob nahi hoga

Sharah Ma'ani Al Aathar Lil tahawi 3/257 sanad hasan

Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne apni mubarak zaban se khush khabri di hai ki:

ولا يزال اللٰه يزيد او قال: يعز الاسلام وأهله، وينقص الشرك ؤهله حتٰى يسير الراكب بين كزايعنى  البحرين. لا يخشى إلا جورًا ويبلغن هٰزا الامر مبلغ الليل
Allah Ta'ala Islam ko zyada hi karta rahega aur mushrikeen aur un ke shirk me kami aati rahegi hatta ki sawaar safar karega to use zulm ke siva kuch darr nahi hoga. Allah ki kasam! Jis ke hath me meri jaan hai, Ek din aisa aayega jab yeh deen waha tak pahonch jaega jahan yeh sitaara nazar aata hai.

Hilyatul Awliya la abi nuaem 6/107,108 sanad sahih

Maloom hua ki musalmano ki hukumat faylati rahehi. Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne aisi khush khabriya di hain jin se har na ummeedi khatam ho jati hai aur museebato me fasa hua har musalman saabit qadam ho jata hai. Khushi aur raahat se dil mutmayeen ho jate hain. Irshad Nabwi  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ hai:
 بشر هٰزا الأمة بالسناء والنصر والتمكين..
Is Ummat ko sar bulandi, Fatah aur zameen par qabze ki khush khabri de do..

Musnad Ahmad 5/134 #21223 sanad hasan

Jihaad qayamat tak jaari rahega aur ek giroh qayamat tak hamesha ghaalib rahega. ise majmooyi haysiyat se koi nuqsan pahonchane wale nakaam rahenge. Nabi  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne farmaya:

 لن يبرح هٰزا الدين قاىٔماً، يقاتل عليه عصابة من المسلمين حتٰى تقوم الساعة
Yeh Deen hamesha qayem rahega, Musalmano ki ek jamaat qayamat tak Deen e Islam ke difa ke kiye ladati rahegi.

Sahih Muslim 1922

Allah ke nazdeek insano wala paymana aur taraazu nahi hai, Allah ka paymaana aur taraazu to mukammal insaaf or Adal aur hikmat wala hai, Beshaq bando ki kamzori ke baad Allah unhe quwwat bakhshta hai. Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ki hadees par gaur karne se ye baat wazeh ho jati hai. Aap  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ka irshad hai:
 هل تنصرون وترزقون إلا بضعفاىٔكم
Tumhari madad aur tumhe rizq tumhare kamzooro ki wajah se diya jat hai.

Sahih Bukhari 2896

Musalmano ko hathkadiya pehna kar ghaseeta ja raha hai, Wo zard wagairah rango ke qaydi libaas me malboos hain. Dunya ke kone kone me peecha kar ke use pakda ja raha hai, use apne hi gharo me jalaya ja raha hai Apne hi mulq se bahar nikala ja raha hai, Us ke paas (Modern Weopenry) Jadeed Aslahe nahi, Woh faqeer aur bebas hai, us ki dua, namaz aur ikhlaas ke zariye se Allah is ummat ki madad farmayega chahe musalman jitne bhi kamzor hon jaisa ki Nabi  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ka irshad hai:

رب أشعت مدفوع بالأبواب لو أقسم علٰى اللّٰه لأبرّه
Baaz aukaat woh admi jis ke baal puragandah aur libaas mayla hai, darwazo se dhakke de kar door hataya jata hai agar yeh shakhs Allah ki qasam khaa le to Allah use poora farmata hai.

Sahih Muslim 2622

Aaj hum dekhte hain ki taaqat aur galba musalmano ke dushmano ke paas hai, lekin hame yeh nahi bhoolna chahiye ki Allah hi Mukhtaar e kul hai, Woh apne momin bando se ghaafil nahi hai, woh yeh kabhi nahi chahega ki musalman hamesha majboor aur maqhoor aur zaleel o ruswa hon, Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne farmaya:

الميزان بيدالرحمٰان، يرفع أقواماً ويخفض آخرين إلٰى يوم القيامة
Meezan, Rahmaan ke hath me hai, woh qayamat tak baaz qaumo ko uthata hai aur dusro ko gira deta hai

Sunan ibn Majah 199 An Nasai fil Qubra 7738 Sanad sahih, Sahih ibn hibban 2419, Al Haakim 1/525

Allah Ta'ala musalmano ko un ke gir jaane ke baad zaroor uthayega basharte ki musalnan raazi karne ke liye sache dil se koshish karein.

Har sadi me Allah Ta'ala aise log paida kar ke musalmano ke dilo me imaan qayem kar deta hai jo khair me sabqat Karte hain aur museebato ki parwaah nahi karte. Log un ki iqtida kar ke Allah ke darbaar me jaano ke nazraane pesh karte hain. Allah aise log paida karega jo Galtiyo ki islaah kar ke logo ko sidhe raste par chala denge. Yeh log hidayat ki taraf Rehnumayi karenge aur kitaab o sunnat ki daawat fayla kar deen ki tajdeed karenge. Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne farmaya:

 إن اللّٰه يبعث لهٰزه الأظة علٰى رأس كل ماىة سنة من يجدّد لها دينها
Beshaq Allah Ta'ala har sadi ke sar par is ummat ke liye aisa insaan paida karega jo Quran aur hadees ke mutabik is ummat ki tajdeed aur islah karega

Sunan Abi Dawood 2491 sanad Hasan

Takleef, Zillat aur maghloobiyat ek din zaroor door hogi in sha Allah chahe khair me sabqat karne walo ke hatho ho ya Mujad'dadeen ke zariye se lekin yeh baat yaqeeni hai ki yeh museebatein hamesha nahi rahengi.

Islam ke saare Dushmano se Allah ka aylaan e jung hai aur jis se Allah ka aylaan e jung ho to us se darne ki kya zaroorat hai? Duniya me in dushmane Islam ki hukumat ek din khatam ho jaegi. Hadees Qudsi hai me aaya hai ki:

من عادى لي ولياً فقد آزنته بالحرب
Jo shakhs mere kisi wali se dushmani rakhta hai, Mai us se aylaan e jung karta hu

Sahih Bukhari 6502

Aaiye! Hum ek dusre ko museebato par sabr ki talqeen karein aur taqdeer ke faysle par razamandi se sabit qadam rahein. Hamein na ummeedi faylane ke bajaye Fatah aur Ghalba e Islam ki khush khabriya faylani chahiye.

Jo log taweel intezar ki wajah se nahoosato aur na ummeedi ka shikar hain, un ki khidmat me Arz hai ki jab Sahaba رضى اللٰه عنهم ne Nabi  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ se museebato aur nahoosato aur sakhtiyo ke shikayat ki to Aap  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne farmaya:
 واللّٰه ليتمن هٰزا الأمر.......تستعجلون
Allah ki kasam! Ye kaam Ghalba e Islam poora ho kar rahega..... magar tum log jaldi karte ho.
Sahih Bukhari 6943

Allah apne bando se us etemaad wa yaqeen ka mutalba Karta hai jis ka saydna Moosa عليه السلام ki walidah ne amali muzaherah kiya. Allah ne unhe hukm diya ki (...................)

Fir agar tujhe is Moosa عليه السلام ke baare me darr lage to use darya me daal de aur na darr aur na gham kar.
Surah Qasas 7

Unhone isi tarah Moosa عليه السلام ko sandooq me rakh kar darya me daal diya aur woh na dari aur na gham kiya halanki darya to chhote se doodh peete bachche ke liye intehayi khatarnaak hota hai. Allah ne Moosa عليه السلام ko bacha liya. Yeh Doodh peeta bachcha aakhirkaar us daur ke sabse bade Taghoot firaun ke paas pahonch gaya jis ne use paala aur fir yahi bachcha uski halaqat ka sabab bana. Allah ki qudrat ke ajayeb isi tarah Zaahir hote hain.

Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne teen qism ke aise logo ka zikr farmaya hai jin me koi khair nahi Aap  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne farmaya:

ثلاثة لا تسأل عنهم.....ورجل شك في أمر اللّٰه والقنوط من رحمةاللّٰه
Teen Qism ke logo ke baare me na pucho... Ek aadmi jo Allah ke faysle me shak kare aur Allah ki rehmat se mayoos ho jaye..
Al Bukhari fil Adab al Mufrad 590, Ahmad 6/19 #23943 Sanad Hasan Sahih ibn Hibban Al Ahsan 4541

isi liye logo ko jab shaq aur na ummeedi ki beemari lag jaye to woh us waqt tak kamyab nahi ho sakta jab tak us se taubah kar ke Allah par aitemaad aur us ki madad wa nusrat ka yaqeen na kar le. Taqdeer par imaan woh behtareen aqeedah hai jis se ye aitemaad hota hai ki aakhri fatah muttaqeen ki hogi. Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ka irshad hai:

لكل شيء حقيقة وما بلغ عبد حقيقة الايمان حتىٰ يعلم ان ما اصابه لم يكن ليخطىٔه وما أخطاه لم يكن ليصيبه
Har cheez ki ek haqeeqat hai aur banda us waqt tak haqeeqat e imaan tak nahi pahonch sakta jab tak use yaqeen kamil na ho jaye ki use jo museebat pahonchi hai woh tal nahi sakti thi aur jo tal gai hai woh kabhi pahonch nahi sakti thi.

Ahmad 6/441,442 #27490 sanad hasan

Maslah to Qayt e Maqdoor (Taqdeer ka ek khaas waqt muqarrar hai) aur Ajal Mahdood (Muqarrar Waqt) ka maslah hai jo na to kisi jaldi karne ki wjah se muqaddam hota hai aur na kisi susti karne wale ki wajah se muakkhar hota hai. Aise mazboot aqeede par be sabri ka qila qumma ho jata hai aur dil mutmayeen ho jata hai ki Aakhri Anjaam aur Fateh Muttaqeen k liye hai.

Agarche Ummat e Muslima Kamzori ke daur se guzar rahi hai lekin hame yeh nahi bhoolna chahiye ki Allah ki taqdeer se hai. Allah us par qadir hai ki Ghum shudah izzat aur khoyi hui sardaari dobarah le aaye. Insano ki yahi shaan hai ki kabhi bulandi aur kabhi pasti jaisa ki hadees me aaya hai:

مثل المؤمن كالخام  من الزرع تضيىها الريح مرة وتعدلها مرة
Momin ki misaal kheti ke paudhe ki taazah nikli hui hari shaakh ki tarah hai jise hawa kabhi jhuka deti hai aur kabhi seedha kar deti hai.

Sahih Bukhari 5643 Sahih Muslim 2810

Eham tareen baat ye hai ki ek din momin zaroor khada hoga ghaalib hoga aur yahi Allah ki Sunnat hai faysla hai. Jab Asbaab taqdeer poore ho jaenge to ek din aisa zaroor hoga. In sha Allah

Umame Sabqah ke baare me Allah ka yahi tareeqah aur qanoon jaari raha hai. Hadees me aaya hai ki Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne farmaya:
 عرضت علي الامم فرايت النبي ومعه الرهيط، والنبي ومعه الرجل والرجلان والنبي ليس معه أحد......
Mujhe Ummatein dikhayi gai. Mai ne dekha ki ek Nabi ke sath kuch log hai. Ek Nabi hai aur uske sath ek do aadmi hain aur ek Nabi hai jis ke sath koi (Ummati) bhi nahi...
Sahih Muslim 220

Is ke bawajood dawat jaari rahi aur har zamane me jaari rahegi chahe jitni bhi kamzori ho jaye. Kisi Nabi par ye aitraaz qat'an nahi ho sakta ki un ke zariye se koi hidayat yaafta kyu nahi hua? halanki unhone dawat me apni poori koshish ki thi, Hidayat dena to Allah hi ke hath me hai. Isi tarah kisi mujaahid par ye aitraaz nahi ho sakta ki use fateh haasil kyu nahi ho rahi? halanki woh apni istetaat aur puri koshish se jihaad me masroof raha hai.

Aitraaz sirf yeh hai ki hum ne asbaab ke istemaal me kami ki aur koshish me kuch na kuch bukhl aur kotaahi se kaam liya Baqi Allah ki marzi hai woh jab chahe jo chahe karta hai.
Jab Shaheedo ko ye khauf hua ki zinda reh jaane wale log kamzori ki wajah se kahin jihaad se peeche na reh jaayen to unhone apne Rabb se sawal kiya: Hamare peeche reh jaane wale bhaiyo ko yeh kaun batayega ki hum jannat me zindah hain aur humien rizq diya jata hai? taki log jihaad se peeche na rahein aur maidaan e jung se na bhaagien. To Allah Ta'ala ne farmaya:

أنا أبلغهم عنكم
Mai unhe tumhari yeh baat pahonchaunga

Abi Dawood 2520 Hasan, Ahmad 1/266, Al Haakim 2/298

Raat ne Aakhir khatm ho jana hai aur din ki roshni charon taraf fayl jaegi Khas wa khashaak beh jaega aur zameen me woh cheeze reh jaengi jo logo ke kiye nafah bakhsh hai.

Allah ki Taqdeer ka ye faysla ek din bar'haq saabit hoga ki Aakhri Fatah Muttaqeen hi ki hai.
والحمدللّٰه رب العالمين

ماخوز اضافات وتحقيق ازكتاب "هٰزه أخلاقنا"

"الإسلام يَعلو ولا يعلى Islam Maghloob Nahi Balki Ghalib Hoga"

By: Mohaddis As Shaikh Zubair Ali Zai Rahimahullah Allah par yaqeen ki haqeeqat kamzoori aur museebato ke daur me zaahir hoti hai. Saah...