Imam Tabrani Rahimahullah ne kaha:
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ الْحُسَيْنِ الْأَشْنَانِيُّ الْكُوفِيُّ، حَدَّثَنَا عَبَّادُ بْنُ يَعْقُوبَ الْأَسَدِيُّ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ فُضَيْلٍ، عَنْ مُطَرِّفِ بْنِ طَرِيفٍ، عَنِ الْمِنْهَالِ بْنِ عَمْروٍ، عَنْ مُحَمَّدِ ابْنِ الْحَنَفِيَّةِ، عَنْ عَلِيٍّ كَرَّمَ اللَّهُ وَجْهَهُ فِي الجَنَّةِ قَالَ: لَدَغَتِ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ عَقْرَبٌ وَهُوَ يُصَلِّي , فَلَمَّا فَرَغَ قَالَ: «لَعَنَ اللَّهُ الْعَقْرَبَ لَا تَدَعُ مُصَلِّيًا وَلَا غَيْرَهُ» , ثُمَّ دَعَا بِمَاءٍ وَمِلْحٍ , وَجَعَلَ يَمْسَحُ عَلَيْهَا وَيَقْرَأُ بِ قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ، وقُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ الْفَلَقِ، وقُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ النَّاسِ۔"
Saydna Ali رضى اللٰه عنه kehte hain ek dafa namaz padhte hue Nabi صلى الله عليه وعلى آله وسلم ko bichchoo (scorpion) ne dasa jab Aap namaz se farigh hue to farmaya: Allah Ta'ala bichchoo par laanat kare, na kisi namazi ko chhorta hai na kisi dusre ko fir Aap صلى الله عليه وعلى آله وسلم ne paani aur namak mangwaya aur usko us jagah par malate rahe aur yeh Surate parhte rahe..1. Surah Al Qafiroon, 2. Surah Al Falaq, 3. Surah An Naas.
(Moajjam Sagheer Tabrani #287, Akhbar Asbahan ibn Nu'aim Asbahani 193/2, Musannaf ibn Abi Sahyabh #23553, Shuaib Al Imaan Lil Bayhaqi #2340, Majma Al Zawaid #8445, As Sahiha Al Albani #548, Mishkat Al Masabih Tahqeeq Zubair Ali Zai #4567)
Iski sanad Hasan Darje ki hai Walhamdulillah Sanad me Raavi thiqa ya sadooq hain 'Abbad bin yaqoob par jarah iske Rafidhi hone par hai lekin woh sadooq darje ka ravi hai, aise ravi ki riwayat uski bidat ki taraf dawat ho to qubool nahi ki ja sakti lekin is riwayat me us ki bidat ka koi Mas'alah hi nahi.
Iske Alawah Allama Haythami Rahimahullah ne farmaya:
"رَوَاهُ الطَّبَرَانِيُّ فِي الصَّغِيرِ، وَإِسْنَادُهُ حَسَنٌ."
-Allama Albani Rahimahullah ne is riwayat ko apni "Sahihah" me darj kiya hai.
-Shaikh Zubair Ali Zai Rahimahullah ne "Mishkaat" me is riwayat ko "Hasan" kaha hai, Alhamdulillah.