ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
Mohamed Asjad Kamal ki kitab "Hafte ke
din aur unka Ta'aruf
Juma'a ka din
Rajeh qawl ke mutabik juma'a hafte ka pehla
din hai.
Juma ke dusre naam
Juma ko urdu me bhi isi naam se pukara jata
hai aur arabi me bhi, isse farsi me "Adina" ke naam se mashur hai.Aur
angreji me Friday
1) Daur e jahiliyat me isse "youm al
arooba" kaha jata tha.
2) Quran me is din ko "shahid"
kaha gya hai.
3) Ek hadees me isse Sayed-al-ayyam (dino
ka sardar) kaha gya hai.
4) Ek aur Hadees me isse "youm al
majeed" bhi kaha gya hai.
5) ek mursal rivayat me isse "youm al
Eid" kaha gya hai.
1) Tareekh al arab qabl islaam 8/359
2) Quran : Surah Al -burooj 3
3) Hakim :- 1/288
4) Tabrani :- 1/566
5) Ibn Abi shayba :- 4/36
Ba'az qutub me iska purana naam
"harba" bhi likha gya hai.
Hafiz ibn kaseer kehte hai ke juma , jama
mustaq hai musalmaan hafte me ek baar is din badi badi masjid me jama hote hai
nez isi roz tamam makhluq ki takmeel farmayi gayi thi
(Tafseer al-quran al-azeem 6/214)
Juma ke din ke fazail
Jume ke din ko baqi dino par fazilat hasil
hai is din ki jo fazilat hasil hai baqi kisi din ko nhi. Quran majeed me is din
ke naam hi ek surat mojud hai
"سورة
الجمعة"
Is surah ke akhir ruku me is din ke ahkaam
wa masail zikr hai
Aey woh logo jo eman laye ho! Jummay kay
din namaz ki azan di jaye to tum Allah kay ziker kay taraf dor paro aur
khareed-o-farokht chor do. Yeh tumharay haq mein boht hi behtar hai agar tum
jantay ho. Phir jab namaz ho chukay to zamin mein phel jao aur Allah ka fazal
talash kero takay tum falah paa lo. Aur jab koi soda biktay dekhen ya koi
tamasha nazar aajaye to uss ki taraf dortay jatay hain aur aap ko khara hi chor
detay hain aap keh dijiye kay Allah kay pass jo hai woh khel aur tijarat say
behtar hai. Aur Allah Taalaa behtareen rozi rasan hai.
(Surah -Al-juma 9-11)
Allah تعالى is din ki qasam khata hai
Allah ki is din ki qasam khana isse iski
ehmiyat aur fazilat ka bakhubi pata
lagaya ja sakta hai.
Quran (85-3)
وَ شَاہِدٍ وَّ مَشۡہُوۡدٍ ؕ﴿۳﴾
Hazir hone aur hazir kiye hue ki qasam
Hazrat Abu Huraira se marvi hai :-
شَاہِدٍ
se
Murad jume ka din hai aur
مَشۡہُوۡدٍ
Se Murad youm e arfa ka din hai .
Hafte waar eid aur islam ki takmeel ka din
hai.
Jume ke din Allah تعالى ne islaam deen ki takmeel
ki thi aur ahle islaam par apni nemat ko pura karte hue farmaya :-
Quran (5:3)
اَلۡیَوۡمَ اَکۡمَلۡتُ لَکُمۡ دِیۡنَکُمۡ
Aaj mere tumhare liye deen ko kamil kardiya
hai.
juma
ke din ek khas waqt hota jab jo bhi khair ki dua maango qubul hoti
Hadees :-
Abu hurairah رضي الله عنه se rivayat hai ki Abu
Al-Qasim (Yani Rasulallah ﷺ) ne farmaya juma mein ek ghadi aisee aati hai
ki jo musalman bhi us waqt khada namaz padhe aur Allah se koi khair maange to
Allah usko jarur dega
Ref:- Sahih Bukhari 5294
Us ghadi ko Asar aur Magrib ke darmiyan
talash karo
Hadees :-
Anas bin malik رضي الله عنه se rivayat hai ki
Rasulallah ﷺ ne farmaya
Juma
ke din (dua qubul hone ki) wo mubarak ghadi ko Asar aur gurub e aaftab (yani
magrib ) ke darmiyan talash karo
Ref:- Tirmidhi 489 (Sahi -albani)
Us ghadi ko asar ke akhri waqt gurub se
peble talash karo
Jabir رضي
الله عنه se rivayat hai ki Rasulallah ﷺ ne
farmaya juma ka din 12 ghante ka hai
jisme koi momeen banda Allah سبحانه وتعالى se kuch mange to Allah usko jarur ata farmate hai , tum log
usko asar ke baad aakhri waqt mein talash karo
Ref:- Sunan Nasaii 1390
Note:- Ahle ilm ke darmiyan is masle me
ikhtelaaf hai rajeh qawl yhi hai jo upar hadees me bayan kiya hai kuch ka kehna
hai jume ke din imam ke mimbar pe bethne se leke khutba khatm hone tk woh ghadi
hai.
Khair hume jume ke din jyada waqt ibadat me
mashgul rehna chahiye.
Dino ka sardar aur Afzal din
Jume ke din ko yeh fazilat bhi Shamil hai
ke yeh Dino ka sardar hai aur tamam dino se behtreen din hai
Hadees :- Muslim 584
Sayedna Abu Huraira رضي الله عنه se
marvi hai ke Rasulullah ﷺ ne
farmaya :-
Behtreen din jis par suraj tulu'o hota hai
woh jume ka din hai . Isme
1) Adam عليه
السلام ko paida kiya.
2) Isi din inko jannat dakhil kiya gaya
3) isi roz jannat se nikale gye
4) Isi roz qayamat ka din qayim hoga.
Jume ki imtiyazi shaan
Jume ke din ki ahemiyat wa fazilat itni
wasee hai ke iss ka zahur aalam e akhirat me bhi hoga
Hadees :-
Silsila ahadees saheeha 706
Abu musa Ashar رضي الله عنه bayan karte hai ke
Rasulullah ﷺ ne farmaya :-
beshaq Allah تعالى Qayamat ke din dino ko
unke halat par uthayga aur jume ke din ko jagmagata hua Roshan banakar uthayga.
Juma ada karne wale isse is tarah ghere honge jese Dulhan dulha ke supurd ki
jati hai.
Ama'al juma aur unki fazilat
Ummat e muslima ko jume ke din bohut sare
ahkamat par amal karne ka hukm diya hai aur unki badi fazilate bhi bayan ki
gayi hai.
1) Jume ke din namaz fajr ki fazilat
:- Rasulullah ﷺ ne
farmaya :- Beshaq Allah ke nazdeek namazo me afzal Namaz jume ke din fajr ki
namaz hai jo ba'zamat padhi jaye .
(Shoaib al emaan lil bahiqi 2783).
2) Jume ke din surah kahf padhne ki fazilat
Rasulullah ﷺ ne
farmaya :- jisne jume ke din surah kahf padhi uske liye Allah 2 jumo ke darniya
noor roshan farmayga
(Sunan kubra 5996)
Dusri rivayat me hai ke ;- Allah uske liye
uske aur baitul Ateeq ke darmiya noor roshan farmayga .
(Sunam darimi 3450)
Jume ke din ghusl se leke juma ada karne tk
ki fazilat
Rasulullah ﷺ ne
farmaya :-
Jo shaqs jume ke din ghusl kare aur jaha tk
ho sake khusbu istemaal kare, phir namaz jume ke liye jaye, aur masjid me jakar
2 admio ke darmiya na ghuse phir jitni ho sake nafil namaz ada kare , aur imam
khutba shuru kare to khamosh rahe to uske liye is juma se lekar dusre juma tk
ke gunah muaf kardiye jayge
(Sahi bukhari 883)
Jume ke din durud shareef padhne ki fazilat
Hazrat Owais Bin Aws رضي الله عنه se
rivayat hai ke Rasulallah ﷺ ne Jume ke ba’az khususiyat zikr karne ke
baad irshaad farmaya :-
Lehaza tum is din mujh par jyada
durood bheja karo kyu ke Tumhara durood
mujh par pesh kiya jata hai Sahaba ne kaha : Aey Allah ke Rasool ﷺ !
Hamara durood aap par kese pesh kiya jayga jab ke Qabr me Posheeda hojayge ?
Rasulallah ﷺ ne jawab diya ke behsaq Allah ﷻ ne
Zameen par yeh baat haram kardi hai ke woh ambiya ke jism ko khaye. (Abu dawood
1047 Sahi Albani)
Jume ke din jung e badar bhi hui thi
Hafte(Saturday) ka din
Ba'az logo ke nazdeek hafta pehla din aur
ba'az logo ke nazdeek hafta 7va din hai. Hamarr nazdeek chuki juma'a hafte ka
pehla din hai is lehaaz hai hafta (Saturday) 2sra din
Hafte ka dusra naam
Isse arbi zubaan me
"Youm-al-sabt" kehte hai. Angreji me Saturday aur hindi me
"sanichar". Farsi me "shamba" kehte hai.
Hafte ke fazail
Yahidiyo ke liye hafte waar eid ka din
Hafte ka din yahidiyo ke yaha wohi muqaam
wa martaba hai jo hamare yaha jume ka hai
Hadees :- Sahi Muslim 856
Sayedna Abu Huraira رضي الله عنه se
marvi hai ke Rasulullah ﷺ ne
farmaya :-
Humse pehle ke logo ko Allah ne jume se
bhatka diya pas yahud ke liye hafte ka din ,nasara(isayi) ke liye itwar ka din
hume jume ke din hidayat bakhshi
Allah سبحانه
وتعالى quran me farmata hai :-
اِنَّمَا جُعِلَ السَّبۡتُ عَلَی الَّذِیۡنَ
اخۡتَلَفُوۡا فِیۡہِ ؕ وَ اِنَّ رَبَّکَ لَیَحۡکُمُ بَیۡنَہُمۡ یَوۡمَ الۡقِیٰمَۃِ فِیۡمَا کَانُوۡا فِیۡہِ یَخۡتَلِفُوۡنَ
Haftay kay din ki azmat to sirf unn logon
kay zimmay hi zaroori ki gaee thi jinhon ney uss mein ikhtilaf kiya tha baat
yeh hai kay aap ka perwerdigar khud hi unn mein unn kay ikhtilaf ka faisla
qayamat kay din keray ga.
Hafiz Abdus Salaam is ayat ki tafseer me
farmate hai :-
Hafte ke din ki ta'azeem millat e islamiya
me na thi aur na hi Ibrahim عليه السلام ki shariyat me. Yeh din to baad me un logo kr liye muqarrar
kiya gaya jinhone ikhtelaaf kiya .
Ikhtelaaf ka matlub yeh hai ke Musa عليه السلام ne
inke upar jume ke din ki ta'azeem wajib ki thi magar inhone (yahidiyo) ne is
par ikhtelaaf karke hafte ke din ko muqarrar kiya is par Allah tala ne isi din ki ta'azeem
wajib kardi aur shikar karne se mana kiya.
Yahidiyo ko Allah tala ne hafte ke din
machlio ka shikar krne ka mana kiya lekin unhone jyadti ki
Quran :- Surat -an- Nisa 154
وَّ قُلۡنَا لَہُمۡ لَا تَعۡدُوۡا فِی السَّبۡتِ
وَ اَخَذۡنَا مِنۡہُمۡ مِّیۡثَاقًا غَلِیۡظًا
yeh bhi farmaya kay haftay kay din mein
tajawuz na kerna aur hum ney inn say sakht say sakht qol-o-qarar liye.
Lekin yahidiyo ne mukhtalif bahano se
machlio ka shikar kiya.
Yeh ek azmaish bhi thi yahidiyo ke liye kyu
ke is din machliya bhi jyada aya karti thi.
Quran :- Surah Aeyraf 163-164
Aur aap inn logon say uss basti walon ka jo
kay darya-e ( -shor ) kay qarib aabad thay uss waqt ka haal poochiye! Jabkay
woh haftay kay baray mein hadd say nikal rahey thay jabkay unn kay haftay kay
roz to unn ki machliyan zahir ho ho ker unn kay samney aati thin aur jab haftay
ka din na hota to unn kay samney na aati thin hum unn ki iss tarah per
aazmaeesh kertay thay iss sabab say kay woh bey hukmi kiya kertay thay.
Hafte ke din zameen ki takhleeq ka din hai
Hadees :- Sahi Muslim 2789
Abu Huraira رضي الله عنه se marvi hai ke
Rasulullah ﷺ ne farmaya :-
Allah ne mitti(zameen) ko hafte ke din paida
kiya
Akele hafte ka roza rakhne ki mumaniyat
Hadees :- Abu Dawiid 2421
Hafte ke din roza na rakho siwaye un ayyam
ke jin me tum par farz ho.
Hafte sath itwaar ko milaya jaye jesa ke
degair hadees me sabit hai
Note:- Aap itwaar ke din wala mazmun dekhe
Hafte ke din tareeqi waqiyat
1) Gazwa ohud
2) wafat imam sufyan bin uyanah
3) wafat imam bukhari
Itwaar ka din
Itwaar islamic hafte ka 3sra din hai . Yeh hindi
zubaan ka lafz hai Itwaar ka matlub hai aftaab ka din suraj ka din (1)
Afsos hai ke urdu me iska naam itwaar naam
se ma'aruf hai Halake gaur kare to pata chalega is lafz me shirk ki bu aati hai
kyu ki suraj ki puja karne walo ne apne devta ke din par iska naam rakha hai
Itwaar ka naam arabi me youm-al-ahad aur
farsi me yek-shamba aur angreji me sunday kehte hai.
Itwaar ke fazail.
Isaiyo me haftewaar eid ka din hai bilkul
isi tarh jese musalmaano me jume ka din eid ka din hai yahudi me sanichar(Saturday)
ka din eid ka din hai.
HADEES :-
أَضَلَّ اللَّهُ عَنِ الْجُمُعَةِ مَنْ
كَانَ قَبْلَنَا ؛ فَكَانَ لِلْيَهُودِ يَوْمُ السَّبْتِ، وَكَانَ لِلنَّصَارَى يَوْمُ
الْأَحَدِ، فَجَاءَ اللَّهُ بِنَا فَهَدَانَا اللَّهُ لِيَوْمِ الْجُمُعَةِ، فَجَعَلَ
الْجُمُعَةَ وَالسَّبْتَ وَالْأَحَدَ، وَكَذَلِكَ هُمْ تَبَعٌ لَنَا يَوْمَ الْقِيَامَةِ
Humse pehle ke logo ko Allah ne jume se
bhatka diya , pas yahud ke liye hafte (Saturday) ka din aur isaiyo ke liye
itwar ka din muqarrar hua fir Allah tala hume laya aur jume ki din ki hidayat
bakshi aur usne tarteeb uhi bana di
Juma, hafta , itwaar aur isi tarah woh
Qayamat ke roz hamare peche honge.(2)
Itwaar pahado ki takhleeq ka din hai
اَلۡقٰی فِی الۡاَرۡضِ رَوَاسِیَ اَنۡ تَمِیۡدَ بِکُمۡ
Aur uss ney zamin mein pahar gaar diye hain
takay tumhen ley ker hilay na(3)
Duniya me bade bade azeem pahad hai yeh
tamam pahad Allah ne itwaar ke din paida kiye hai.
Hadees :-
Abu Huraira رضي الله عنه farmate hai Rasulullah ﷺ ne
mera hath pakda aur farmaya :-
خَلَقَ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ التُّرْبَةَ
يَوْمَ السَّبْتِ، وَخَلَقَ فِيهَا الْجِبَالَ يَوْمَ الْأَحَدِ
Allah تعالى ne mitti ko hafte ke din paida Kiya aur pahado ko itwaar ke din
(4)
Itwaar ke din rozah rakhna
Hadees :-
أَكْثَرَ مَا كَانَ يَصُومُ مِنَ الْأَيَّامِ
يَوْمَ السَّبْتِ وَالْأَحَدِ،".
Beshaq Rasulullah ﷺ
aksar hafta aur itwaar ka roja rakha karte the aur farmaya karte the.
كَانَ يَقُولُ: "إِنَّهُمَا يَوْمَا عِيدٍ
لِلْمُشْرِكِينَ وَأَنَا أُرِيدُ أَنْ أُخَالِفَهُمْ
Rasulullah ﷺ ne
farmaya beshaq yeh 2 din (hafta aur itwaar) mushriko ke eid ka din hai aur me
chahta hu inki mukhtalifat karu(5)
Note:- yaad rahe khali hafte ke din Rozah
rakhna mana hai uske sath kisi aur din (/juma/itwaar ) ko milaya jayga.
1. DUROOS UL LUGHAT 1/109
2. SAHEEH MUSLIM 856
3. SURAH NAHL AYAT 15
4. SAHEEH MUSLIM 2789
5. SAHEEH IBN KHUZAIMA 2127
Peer, Somwaar ka din
Islamic hafte ka 4tha din peer hai. Isse
somwaar bhi kehte hai "somwaar" Sanskrit zabaan ka lafz hai , jiska
matlub hai chand ka din. Chand ke pujariyo ne Apne devta chand ke naam par iska
din somwaar rakha hai.
إن لله وإن إليه راجعون
Peer ke dusre naam
Arabi zubaan me isse
"Youm-al-isnain" kehte hai Qadeem (purani) arabi me isse
"Aahoon"(اهون)
kehte farsi me "Do-shamba" aur angreji me monday kehte hai.
Somwaar ke din darakhto ki takhleeq ka din
hai
Hadees :- Sahi Muslim 2789
وَخَلَقَ الشَّجَرَ يَوْمَ الِاثْنَيْنِ،
Aur darakhto ko peer ke din paida kiya.
Wiladat e Mustafa ka din
Peer ka din is wajh se bhi fazilat wala hai
ke iss roj zameen par darakht paida farmakar rizq diya usi tarah Apne akhri
Nabi ﷺ ko paida farmakar insaniyat ko raunaq bakhshi..
Hadees :-Sahi Muslim 1162
" فِيهِ
وُلِدْتُ، وَفِيهِ أُنْزِلَ عَلَيَّ ".
Rasulullah ﷺ ne
farmaya :- Isi din meri wiladat hui aur isi din mujh par wahi (wahy) nazil ki
gayi.
Aap ﷺ ki
wiladat rabbi-awwal ke mahine me somwaar/peer ke din hui.
Upar ki hadees me yeh bhi agya hai ke peer
ke din wahy ka nazul hua hai
Wafat Rasulullah ﷺ ka
din
Sayedna Anas bin Malik رضي الله عنه
kehte hai ke mene Rasulullah ﷺ ki
akhiri ziyarat mene us waqt ki jab Apne peer ke din Pardah hataya tha
(Musnad Humaidi 1222 sanad hasan)
Rabb ki bargaah me ama'aal ke pesh ka din.
Is roz bani adam ke ama'aal bargah ilahi me
pesh kiye jate hai wese to roz hi pesh kiye jate hai lekin peer ke din
hafte-waar pesh kiye jate hai. Jese salana shaban ke mahine me pesh kiye jate
hai. (SUNAN NASAI 2359)
HADEES :- Sahi Muslim 2565
تُعْرَضُ الْأَعْمَالُ فِي كُلِّ يَوْمِ خَمِيسٍ
وَاثْنَيْنِ، فَيَغْفِرُ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ فِي ذَلِكَ الْيَوْمِ لِكُلِّ امْرِئٍ
لَا يُشْرِكُ بِاللَّهِ شَيْئًا، إِلَّا امْرَأً كَانَتْ بَيْنَهُ وَبَيْنَ أَخِيهِ
شَحْنَاءُ، فَيُقَالُ : ارْكُوا هَذَيْنِ حَتَّى يَصْطَلِحَا، ارْكُوا هَذَيْنِ حَتَّى
يَصْطَلِحَا
Logo ke ama'al har hafte me 2 martaba pesh
kiye jate hai peer ke din aur jume raat
(Thursday) ke din fir har momin bande ki
magfirat kardi jati hai siwaye us bande ke ke uske aur uske bhai(musalmaan/momin)
ke darmiyan Dushmani ho chunanche irshad hota hai ke unhe chod do ya unhe
mohlat de do yaha tak ke yeh ruju karle.
Jannat ke darwajo ka khulna
Hadees :- Sahi Muslim 2565
تُفْتَحُ أَبْوَابُ الْجَنَّةِ يَوْمَ الِاثْنَيْنِ
وَيَوْمَ الْخَمِيسِ
Peer aur jumerat ke roz jannat ke darwaje
khol diye jate hai
Magfirat ka din
Hadees :- Ibn Majah 1740
إِنَّ يَوْمَ الِاثْنَيْنِ وَالْخَمِيسَ
يَغْفِرُ اللَّهُ فِيهِمَا لِكُلِّ مُسْلِمٍ إِلَّا مُتَهَاجِرَيْنِ، يَقُولُ : دَعْهُمَا
حَتَّى يَصْطَلِحَا
Peer aur jumerat ke din Allah tala har
musalmaan ki magfirat farma deta hai siwaye un 2 admi ke jo apas me qata-talluq
(baatchite band/dushmani) kar chuke hai woh farmate hai hai unhe chod do yaha
tk ke woh sulah karle.
Peer ke din roze ki fazilat
Peer ke din roza rakhna masnun hi nahi,
balqe pyare Nabi ﷺ ki sunnat hai.
Hadees :- Sunan Nisai 2360
كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ
وَسَلَّمَ يَصُومُ الِاثْنَيْنِ وَالْخَمِيسَ.
Rasulullah ﷺ har
peer aur jumerat ke din roza rakhte the
Dusri hadeeso se pata chalta hai ke Aapﷺ 2 wajah se roza rakte hai
1) to apki wiladat ka din
2) is din amaal pesh hote hai .
Rasulullah ﷺ ka
yeh ma'mul tha ke woh peer ke din masjid quba jaya karte the (sahi Muslim)
Kuch tareekhi waqiyat
Rasulullah ﷺ ki
amad (medina ne) me peer ke din hui.
Aap ﷺ ne
27 safar 14nabvi ko makkah choda 8 rabbi awwal peer ke din medina pohuche
(bukhari 3906)
Qibla ka badlana (aqsa se khana-e- qaba
hona)
Qibla ka badalne ki chahat aap Rasulullah ﷺ ki
khawahish thi aap ki dua isi din qabool hui aur peer ke din qibal ka rukh badla
gya.
Mangal ka din
Mangal hafte ke hisab se 5va din hai. Yeh
sanskrit ka lafz hai jiska lafzi maina "khushi" , "jashn"
wagerh hai jesa ke kutub e LUGHAT me hai. (Feroz-ul-lugnat 1361)
Lekin hinduo ke yaha ek jung ke devata ke
naam par yeh naam rakha hai.
Mangal ka dusra naam
Mangal ko arabic me
"youm-al-salasa" kehte hai aur farsi me "sa-shamba" kehte
hai aur angreji me "Tuesday" kehte hai.
Mangal ke din ke fazail
Makruhat ki takhleeq ka din
Hadees :-
وَخَلَقَ الْمَكْرُوهَ يَوْمَ الثُّلَاثَاءِ،
Aur makruhat ko Mangal ke din paida kya
Makruhat se murad buri cheeje .. jese
"Tareeqi", "Zulm" , "Gande Haiwanat ".( Lughat al
hadees 4/45)
Nez isse woh chije bhi murad hai jin se
kaar mua'ash hasil hote hai jese loha wagrh.
(Sharah Sahee Muslim 2/381)
Mangal ke ahkaam wa masail
Nabidh
( نبیز)
pina
Hadees :-
Sayedna Ibn Abbas رضي الله عنه ke yaha nabidh ka zikr
kiya gaya to unhone farmaya :-
كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ
وَسَلَّمَ يُنْتَبَذُ لَهُ أَوَّلَ اللَّيْلِ، فَيَشْرَبُهُ إِذَا أَصْبَحَ يَوْمَهُ
ذَلِكَ، وَاللَّيْلَةَ الَّتِي تَجِيءُ، وَالْغَدَ، وَاللَّيْلَةَ الْأُخْرَى، وَالْغَدَ
إِلَى الْعَصْرِ، فَإِنْ بَقِيَ شَيْءٌ سَقَاهُ الْخَادِمَ، أَوْ أَمَرَ بِهِ، فَصُبَّ
Rasulullah ﷺ ke
liye peer ki raat nabidh banaya jata fr isse aap peer ki raat aur Mangal ke din
asar tk pite rehte fir isme se kuch bach jata to khadimo ko pila dete ya isse
baha dete.
(Sahi Muslim 2004)
Mangal ki tareekhi waqiyat
Is din sayedna fatima رضي الله عنها ki
wafat hu
Sayedna Abu baqr Siddiqui رضي الله عنه ki
wafat hui
Budh ka din
Budh hafte ke hisab se 6 din hai aur yeh
sanskrit ka lafz hai. Jiska maina hai "Tameez", "Aqal",
"Aarif". Hinduo me budh tizarat ka devta hai aur isi ke naam par yeh
din ka naam rakha.
Budh ka dusra Naam
Arabic me budh ko "Youm-al-arba"
kehte hai, Farsi me "chahar shambha" aur agreji me
"Wednesday" kehte hai.
Budh ke fazail.
Noor ki takhleeq ka din
Hadees :- Sahi Muslim 2759
وَخَلَقَ النُّورَ يَوْمَ الْأَرْبِعَاء
Aur noor ko budh ke din paida kiya
Qabooliyat dua ka din
Budh ka din qabooliyat dua ka din hai umeed
rakhni chahiye is roz 2 namaz ke darmiya ki jane wali dua Allah ke yaha qabool
hogi.
Budh (Wednesday) ke din Zuhr aur asr ke
bich dua manga karo in Sha Allah qabool hogi
Hadees :-
سَمِعْتُ جَابِرَ بْنَ عَبْدِ اللَّهِ ،
يَقُولُ دَعَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ
عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي هَذَا الْمَسْجِدِ ، مَسْجِدِ الْفَتْحِ ، يَوْمَ الاثْنَيْنِ
وَيَوْمَ الثُّلاثَاءِ وَيَوْمَ الأَرْبِعَاءِ ، فَاسْتُجِيبَ لَهُ بَيْنَ الصَّلاتَيْنِ
مِنْ يَوْمِ الأَرْبِعَاءِ ، قَالَ جَابِرٌ : وَلَمْ يَنْزِلْ بِي أَمْرٌ مُهِمٌّ غائِظٌ
إِلا تَوَخَّيْتُ تِلْكَ السَّاعَةَ ، فَدَعَوْتُ اللَّهَ فِيهِ بَيْنَ الصَّلاتَيْنِ
يَوْمَ الأَرْبِعَاءِ فِي تِلْكَ السَّاعَةِ ، إِلا عَرَفْتُ الإِجَابَةَ
Jabir bin Abdullah رضي الله عنه se rivayat hai woh kehte
hai Rasulallahﷺ ne peer(monday) Mangal(tuesday) aur budh(Wednesday) ke din
Masjid Al-Fath me Allah se dua kari unki dua budh ke din Zuhr aur Asr ke bich
qubool hui
Jabir رضي
الله عنه mere liye koi masla itna zaruri nhi hota
jo pura na ho illah yeh ke me Allah se is waqt (budh ke din zuhr aur asr ke
darmiya) dua karta aur yeh janta ke woh dua qabool karega.
(Adab al mufrad 703
hasan albani)
Note:- Baa'az log yeh khayal karte hai ke
budh ka din manhoos hai khas taur par safar ke mahine ka budh ka din to yeh
aqeeda rakhna aur isse manhoos samjhna sarasar galat hai
Jumeraat ka din
Jumeraat hafte ke din ke hisab se 7va din
hai. Lafz jumeraat do lafzo se bana hai (juma+ raat) jiska matlub hai jume ki
raat ya shabb.
Jumeraat ke dusre naam
Jumeraat ko arabic zubaan me Youm-al-khamees
aur farsi zubaan me "panch-shamba" kehte hai aur angreji zubaan me
Thursday.
Jumeraat ke fazail
Zameen me janwaro ko felane ka din
ALLAH تعالى ki wajeh nishaniyat me se ek daleel yeh bhi hai ke usne zameen
me har qism ke janwaor ko fela diye.
وَ بَثَّ فِیۡہَا مِنۡ کُلِّ دَآبَّۃٍ
"iss mein her qisam kay janwaron ko
phela dena"
(Quran 2:164)
وَ مَا یَبُثُّ مِنۡ دَآبَّۃٍ اٰیٰتٌ لِّقَوۡمٍ یُّوۡقِنُوۡنَ
"aur inn janwaron ki pedaeesh mein
jinehn woh phelata hai yaqeen rakhney wali qom kay liye boht si nishaniyan
hain."
(Quran :- 45:4)
Hadees :- Sahi Muslim 2789
وَبَثَّ فِيهَا الدَّوَابَّ يَوْمَ الْخَمِيسِ
"Aur jumeraat ke din chopaye(janwaro)
ko fehlaye"
Rabb ki bargaah me ama'aal ke pesh hone ka
din
Is din ki yeh bhi fazilat hai is roz Allah
ke yaha bani adam ke ama'aal pesh hote hai :-
Hadees :-
Muslim 2565
تُعْرَضُ الْأَعْمَالُ فِي كُلِّ يَوْمِ
خَمِيسٍ وَاثْنَيْنِ
"Har jumeraat aur peer ke din Ama'aal
pesh kiye jate hai"
Jannat ke darwaze khol diye jate hai
Hadees :- Sahi Muslim 2565
تُفْتَحُ أَبْوَابُ الْجَنَّةِ يَوْمَ الِاثْنَيْنِ
وَيَوْمَ الْخَمِيسِ
Peer aur jumerat ke roz jannat ke darwaje
khol diye jate hai
Magfirat ka din
Hadees :- Ibn Majah 1740
إِنَّ يَوْمَ الِاثْنَيْنِ وَالْخَمِيسَ
يَغْفِرُ اللَّهُ فِيهِمَا لِكُلِّ مُسْلِمٍ إِلَّا مُتَهَاجِرَيْنِ، يَقُولُ : دَعْهُمَا
حَتَّى يَصْطَلِحَا
Peer aur jumerat ke din Allah tala har
musalmaan ki magfirat farma deta hai siwaye un 2 admi ke jo apas me qata-talluq
(baatchite band/dushmani) kar chuke hai woh farmate hai hai unhe chod do yaha
tk ke woh sulah karle.
Jumeraat ke din roze ki fazilat
Jumeraat ke din roza rakhna masnun hi nahi,
balqe pyare Nabi ﷺ ki sunnat hai. Aur iski wajah bhi yeh hai ke Rasulullah ﷺ ne
farmaya is din Ama'aal pesh hote hai aur ne chahta hu ke mere ama'aal roze ki
halat me pesh ho (Sunan Nasai 2360)
كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ
وَسَلَّمَ يَصُومُ الِاثْنَيْنِ وَالْخَمِيسَ.
Rasulullah ﷺ har
peer aur jumerat ke din roza rakhte the
Roze ke muta'alliq pehle guzar chuka hai ke
Rasulullah ﷺ peer aur jumerat ke din roza rakhte the. Inki tarteed hadees se
sabit hai woh is tarah hai.
Hadees :-
Abu Dawood 2451
عَنْ حَفْصَةَ قَالَتْ : كَانَ رَسُولُ
اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَصُومُ ثَلَاثَةَ أَيَّامٍ مِنَ الشَّهْرِ
: الِاثْنَيْنِ وَالْخَمِيسَ، وَالِاثْنَيْنِ
Syeda Hafsa رضي الله عنها bayan karti hai ke
Rasulullah ﷺ har mahine ne 3 roze rakhte pehle (peer aur jumerat ko) fr agle
hafte me peer ko.
Jumeraat ke ahkaam wa masail
Safar karna
Sayedna ka'ab bin malik farmate hai ke
bohut hi kam esa hua hai ke Rasulullah ﷺ
jumeraat ke elawah safar par nikle ho.(Moa'jjam al Awsat 5244)
Aur dusri hadees me farmaya ke Rasulullah ﷺ is
baat ko pasnd farmate ke woh jumeraat ko safar par nikle.(Bukhari 2949).
Jumeraat tareekh ke aaine me
1) khaibar par hamla
2) jung e jamal