إذَا خَطَبَ رَجُلٌ امْرَأَةً سَأَلَ عَنْ جَمَالِهَا أَوَّلًا
فَإِنْ حُمِدَ: سَأَلَ عَنْ دِينِهَا.
فَإِنْ حُمِدَ: تَزَوَّجَ، وَإِنْ لَمْ يُحْمَدْ: يَكُونُ رَدُّهُ لِأَجْلِ الدِّينِ.
وَلَا يَسْأَلُ أَوَّلًا عَنْ الدِّينِ، فَإِنْ حُمِدَ سَأَلَ عَنْ الْجَمَالِ.
فَإِنْ لَمْ يُحْمَدْ رَدَّهَا. فَيَكُونُ رَدُّهُ لِلْجَمَالِ لَا لِلدِّينِ
Imam Ahmad Bin Hanbal Kehte hai :-
jab koi shaqs shadi ka paigham bheje to usse chahiye ke sabse pehle woh khubsurti dekhe.
Agar woh mutmayin hai tb uska deen dekhe , agar woh mutmayin hai to nikah karle
Aur agar uska deen sahi nhi tb usse inkar karde, deen sahi na hone ki wjah se inkar kiya
Admi sabse pehle deen na dekhe , kyu ke agar deen sahi laga tb woh uski khubsurati dekhega aur agar khubsurti pasnd na aayi to woh inkar kardega aur uska mana karna deen nhi khubsurti hoga._
(Al-Insaaf 8/19)
Kuch log us hadees ko galat samjh lete hai jisme Rasulullah ﷺ kehte hai :- aurat se shadi 4 cheeje dekh kar karo.
Yaha log yeh samjhte hai ke awwal deen aur aur sirf yahi zaruri hai.
Hadees ka sahi Mafhum hai ke deen ka dekhna zauri hai lekin sirf deen hi dekhna sahi nhi
Omar Bin khattab رضي الله عنه farmate hai :-
قال عمر بن الخطاب رضي الله عنه :
( لا تكرهوا فتياتكم على الرجل القبيح ، فإنهن يُحبِبْنَ ما تحبون )
Tum apni bachiyon ko kisi badsurat shaqs se nikah me na do , kyu ke woh bhi khubsurti pasnd karti hai jaisa tum karte ho
(Musannaf Ibn Aby shayba 4/94)
Ibn Qadaimah Hanbali رحمه الله kehte hai :-
وَيَخْتَارُ الْجَمِيلَةَ ؛ لِأَنَّهَا أَسْكَنُ لِنَفْسِهِ ، وَأَغَضُّ لِبَصَرِهِ ، وَأَكْمَلُ لِمَوَدَّتِهِ ، وَلِذَلِكَ شُرِعَ النَّظَرُ قَبْلَ النِّكَاحِ
Aadmi ko khubsurat aurat nikah ke liye dekhni chahiye , kyuki woh use sukun degi aur uski madad karegi nazrein neeche rakhne me, aur unke darmiyan mohabbat bhi zyada hogi.
(Al-Mughni 5347)
- Mohammad Afghan