Wednesday, April 22, 2020

Ramadhan Lafz k may'ene

Imam Qurtubi kehte hai :-

وَرَمَضَانُ مَأْخُوذٌ مِنْ رَمَضَ الصَّائِمُ يُرْمَضُ إِذَا حَرَّ جَوْفُهُ مِنْ شِدَّةِ الْعَطَشِ. وَالرَّمْضَاءُ: شِدَّةُ الْحَرِّ

Ramadhan lafz Verb ( Ramadha(رمض) : who Fast) se Makhuz hua hai. Jab uska pet garm ho jaye shadeed pyaas se.

Aur Ramdha (رمض)  ka matlub hai shadeed pyaas


يُقَالُ إِنَّهُمْ لَمَّا نَقَلُوا أَسْمَاءَ الشُّهُورِ عَنِ اللُّغَةِ الْقَدِيمَةِ سَمَّوْهَا بِالْأَزْمِنَةِ الَّتِي وَقَعَتْ فِيهَا، فَوَافَقَ هَذَا الشَّهْرُ أَيَّامَ رَمِضَ الْحَرُّ فَسُمِّيَ بِذَلِكَ. وَقِيلَ: إِنَّمَا سُمِّيَ رَمَضَانُ لِأَنَّهُ يَرْمِضُ الذُّنُوبَ أَيْ يُحْرِقُهَا بِالْأَعْمَالِ الصَّالِحَ

Kaha jata hai ke jab Arabs ne mahino ke naam purane naam se badalna shuru kiye  tb unhone mausam ke hisaab se naam rakhe is lehaz is se yeh mahina us mausam me aya jab garmi shadeed hua karti isilie iska naam yahi rakha gaya.

Aur kuch ulema ka kehna hai iska naam Ramadhan isliye rakha gaya kyu ke yeh gunaho ko jala deti hai yani achayi aur neki se gunah khatam hojate hain.

Tafseer Al-Qurtubi 2/220
-Shabab bin Ismail

"الإسلام يَعلو ولا يعلى Islam Maghloob Nahi Balki Ghalib Hoga"

By: Mohaddis As Shaikh Zubair Ali Zai Rahimahullah Allah par yaqeen ki haqeeqat kamzoori aur museebato ke daur me zaahir hoti hai. Saah...