Saturday, May 2, 2020

Safar ki Nuhusat ki ek rivayat Ki tehqeeq



مَنْ بَشَّرَنِي بِخُرُوجِ صَفَرٍ ، بَشَّرْتُهُ بِالْجَنَّةِ

الحمد للہ رب العالمین و الصلاۃ والسلام علی رسولہ الامین ، اما بعد



Mohtram qa'iereen !! Safar ka mahina jese hi khatam hone wala hota hai, darz zail rivayat ko koi na koi social media par zarur irsaal kardeta hai :

Rasulullah ne farmaya :-
من بشرني بخروج صفر، بشرته بالجنة

" Jis ne muje Maah Safar khatam hone ki khush-khabri ki di to me usse jannat ki khush-khabri dunga "
Is liye mene munasib samjha  ki is rivayat ki Haqeeqat logo ki khidmat message pesh kardi jaye taqe log isse social media par irsaal na kare aur agar koi irsaal karta hai to fori taur par yeh tehreer uss ki khidmat me pesh kardi jaye aur usse us rivayat ki Haqeeqat se agaah kiya jaye.

Allah ki toufeeq se mazkurah rivayat ki tehqeeq pesh khidmat hai

Raqim ne sabse pehle mazkurah Rivayat ki sanad talash karne ki koshish ki aur khoob koshish ki lekin puri sanad to dur , sanad ke kisi ek raavi ka naam bhi dastiyaab nhi ho saka , hatta ki zair behas rivayat ko rivayat karne wale sahabi ka naam bhi nhi mil saka.

Fir kayi kitabo ka muta'ala karne ke baad jis natije par pohucha woh yeh hai ke yeh rivayat be-sanad, be-asal aur mawzu (mangharat) hai

Aimma kiraam ke aqwaal pesh khidmat hai

1) Imam Raziuddin Hassan bin Muhammad al-Qarshi al Sin'ani رحمه الله ( muttaffa 650h).

" فنن الأحاديث الموضوعة.."
" Mawzu ahadees me se hai "
Fir iske tehat inhone kayi mawzu rivayat ka zikr kiya hai, unhi me se ek zair behas rivayat bhi hai.

Dekhein :- ( Al-Mawzuaat Ba-tehqeeq Najm Abdur Rahman  Safa 61 number )

2) Imam Mohammad Tahir bin Ali al-Hindi رحمه الله   (986h)

" Yeh rivayat Mawzu hai "
(Tazkirat Al Mawzuaat Safa 115)

3) Allama Mulla Ali Qari Al-Hanfi رحمه الله  (1014)
لا أصل له
"Iski koi asal nahi"
(Al-israar al marfua’aat fee al-akhbaar al mawzuaat ba-tehqeeq Mohammad al-sabag safa 337 number 473)

4) Imam Muhammad bin  Ali Showkani  رحمه الله ne is rivayat ko apni kitab " Al Fawaid al Majmuaa fee ahadees al Mawzua" me zikr karke imam Sin'ani رحمه الله ka hukm naqal kiya hai

(Al Fawaid al Majmuaa fee ahadees al Mawzua ba-tehqeeq al mo’almi  safa 438)

5) Allama Albani رحمه الله farmate hai :-
Yeh rivayat mawzu hai jesa ki fatawa hindiya aur mawzuaat ki kitabo me hai .

( Hujjat un-Nabi kama rivah anhu Jabir raziallaho  safa 104

Faidah

Ba'az kitabo me yeb rivayat  " دخول " lafz ke izaafe ke sath hai 

من بشرني بخروج صفر، بشرته بدخول الجنة

Jisne muje maah safar khatam home ki khuskhabri di to me usse jannat me dakhil hone ki khuskhabri dunga

Dekhe (  Al-Mawzuaat sin’ani ba-tehqeeq najm Abdur Rehman safa 61 raqam 100)

{ Khulasa Tehqeeq }:-  *” Zair behas rivayat be-asal aur mawzu hai wallaho alam “*

-Hafiz Akbar ali Akhtar Ali Salai
Sadar Albalagh – Islamic Centre
14 muharram 1441
14 sept 2019

"الإسلام يَعلو ولا يعلى Islam Maghloob Nahi Balki Ghalib Hoga"

By: Mohaddis As Shaikh Zubair Ali Zai Rahimahullah Allah par yaqeen ki haqeeqat kamzoori aur museebato ke daur me zaahir hoti hai. Saah...