سم الله الرحمن الرحيم
Sone se Muta'alliq Rasulullah ﷺ ki
Sahih Sunnatein
1) Sone se pehle wuzu karna:-
Hadees :- Sahi Bukhari 6311
إِذَا أَتَيْتَ مَضْجَعَكَ فَتَوَضَّأْ وَضُوءَكَ
لِلصَّلَاةِ، ثُمَّ اضْطَجِعْ عَلَى شِقِّكَ الْأَيْمَنِ
Rasulullah ﷺ ne
farmaya :-
Jab tum sone ke liye bistar par aao to wuzu
karlo fir daaye karwat let jaao.
2) Bistar ko jhadna
Hadees :- Sahi Bukhari 6340
Rasulullah ﷺ ne
farmaya jab tum me se koi bistar par letne ke liye aaye to apne tehband ke
nichle hisse se bistar ko jhaad le kyu ke isse malum nhi ke iske baad iss ke
sath kiya hoga?
3) Daaye karwat sona (Rasulullah ﷺ
Daaye (right) karwat sote
Hadees :- Sahi Bukhari 6315
كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ
وَسَلَّمَ إِذَا أَوَى إِلَى فِرَاشِهِ نَامَ عَلَى شِقِّهِ الْأَيْمَنِ
Bar'a bin Azib رضي الله عنه farmate hai ke Rasulullah
ﷺ jb bistar par sone aate to daaye karwat let jaate.
4) Rasulullah ﷺ raat
ke shuru hisse me sote aur raat ke akhri hisse me baidaar hote (yani jaldi
sojaya karte aur tahajjud ke liye uth jaate
Hadees :- Sahi Muslim 739
كَانَ يَنَامُ أَوَّلَ اللَّيْلِ، وَيُحْيِي
آخِرَهُ،
Ayesha رضي
الله عنها Rasulullah ﷺ ke
sone ke baare me bayan karte hue farmati hai ki :- Aap ﷺ
shuru raat me so jaya karte aur raat ke aakhri hisse me baidaar ho jate the
5) sote waqt dua padhna :-
Hadees :- Rasulullah ﷺ sote
waqt kafi dua padhna sabit hai.
Mashoor dua hai :- Sahi Bukhari 6325
اللَّهُمَّ بِاسْمِكَ أَمُوتُ وَأَحْيَا
Rasulullah ﷺ jab
sone jaate to apne dono hathelio ko jama
karte surah ikhlaas surah falaq aur
surah naas padhkar fukte fr dono hathelio ko jaha tk mumkin hota hai apne jism
me malte , sar aur chehre se shuru karte
aur yeh amal 3 martaba karte
Hadees :- Sahi Bukhari 5017
Sote waqt ayat-al Kursi padhna sabit hai
aur mustahab hai
Aur is tarah Rasulullah ﷺ se
kafi dua sabit hai jinhe woh sote hue padhte
Dekhe :- ( Sahi bukhari 6315,
Sahi muslim 2713)
5) Neend se uth te waqt Rasulullah ﷺ yeh
dua padhte:-
الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَحْيَانَا بَعْدَمَا
أَمَاتَنَا، وَإِلَيْهِ النُّشُورُ ".
(TAMAM QISM KI TAAREEF USS ALLAH KE LIYE
JISNE HUME ZINDAH KIYA BAAD USKE USNE HUME MAAR DIYA THA AUR USI KI JANIB UTH
KAR JANA HA)
Aur mazeed Aap ﷺ se
baidaar hote waqt quran qareem ki yeh ayat padhna bhi sabit hai ( surah al
imraan 190)
Dekhe :- Hadees Bukhari 7452
Ibn Abbas رضي
الله عنه se marvi hai woh farmate hai me ne ek raat
Maimuna رضي الله عنها ke ghar me guzari Aur Rasulullah ﷺ unhi
ke ghar the, taaqe me dekh saku ke Rasulullah ﷺ ki
raat ki namaz kesi hoti hai.
Phir Rasulullah ﷺ apne
ahl-o-ayaal ke sath kuch der guftugu ki
phir so gye jab raat ka akhri pahar baqi bacha aap beth gye fr apne surah al
imraan ki ayat 190 tilawat ki fir aap khare hue wuzu farmaya miswaak kiya fir
aapne 11 rakat namaz ada ki phir hazrat bilal ne azaan di aapne 2 rakat namaz
ada ki phir aap nikle aur logo ko subah ki namaz padhayi.
-Jarida Tarjuman March 2019