Quran me kul 114 suratein hai jinki ibteda(shuruwat) mukhtalif andaaz se hui hai, ba'az suratein hamd-wa-sana se shuru hui, ba'az qasam se , ba'az nida(pukar/mukhatib), to ba'az shart se. Is Aitebaar se suratein ki 10 iqsaam banti hai.
1) Hamd-wa-sana se shuru hone wali suratein , inki ta'adad 14 hai :-
In ki 2 qismein hai jinme sifat mad'ah (ta'reef ho)se hai yeh 7 suratein hai :- jaise Al-Fatiha , Al-Ana'm , Al-Kaif, Al-Saba , Al-Fatir, Al-Furqaan, Al-Mulk.
Dusri Qism :- Woh suratein jinki ibteda taqdees (Allah ki paaki bayan) se hoti hai inki ta'adad 7 hai :- Al-Isra, Al-Hadeed, Al-Hashr, As-saff, Al-Jum'a, At-Tagabun,Al-Ala'a
2) Nida (Pukar) se shuru hone wali suratein , yeh kul 10 hai aur inki 4 iqsaam hai.
a). يأيها الناس se shuru hone wali (An-Nisa , Al-Hajj)
b) يأيها الذين se shuru hone wali (Al-Maida, Al-Hujraat , Al-Mumtahina)
c) يأيها النبي se shuru hone wali (Al-ahzab, At-Talaq, At-Tehreem)
d) Mutfarriq :- (Al-Muzammil,Al-Mudassir)
3) Jumla Istefham'ia. (sawaliya) se shuru hone wali
Inki ta'adad 6 hai :- Ad-Dahar, An-Naba, Al-Ghashiya, Al-sharah ,Al-Feel,Al-Ma'oon,
4) Amr(Hukm) se shuru hone wali suratein
Inki ta'adad 6 hai :- Al-Jinn, Al-Alaq, Al-Kafiroon,Al-Ikhlaas, Al-Falaq, An-Naas
5) Shart se shuru hone wali suratein
Inki ta'adad 7 hai :- Al- waqiya , Al-Munafiqoon, At-Takweer, Al-Inshiqaaq, Al-Zalzaal , An-Nasr ,Al-Infitaar
6) Dua se shuru hone wali
Inki tadad 3 hai :- Al-Mutafifeen , Al-Hamza , Al-Lahab
7) Ta'aleel se shuru hone wali
Sirf ek surah hai :- Surah Al-Quraysh.
8) Qasam se shuru hone wali
Inki ta'adad 17 hai :- As-Saffat , Ad-Dhariyat , At-toor, An-Najam , Al-Qiyamah, Al-Mursilaat, An-Najia'aat, Al-Burooj, At-Tariq , Al-Fajr, Al-Balad, As-Shams, Al-Layl, Ad-Dhuha, At-teen, Al-Aadiyat ,Al-Asr.
9) Jumla khabar se shuru hone wali
Inki ta'dad 21 hai :-. Al-Anfaal ,At-Tawba, An-Nahal, Al-Ambiya, Al-Mo'minoon, An-Noor, Az-zumr , Muhammad, Al-Fatah , Al-Qamar, Ar-Rehmaan, Al-Mujadilah ,Al-Haqqah, Al-Moariz , Nuh ,Al-Abasa, Al-Qadar Al- Bayyinah , Al-Qariyah Al takasur ,Al-Kausar.
10) Huroof se shuru hone wali suratein ki ta'dad 29 hai
Inme ek huruf se lekar 5 huroof tk shuru hone wali suratein shamil hai jinki tafseel darz zail hai :-
1) ek huroof se shuru hone wali 3 suratein hai :- seen(س) , qaaf(ق) , nun (ن)
2) 2 huroof se shuru hone wali 9 suratein hai :- Taha , An-Namal , Yaseen ,Al -moamin, Hameem Sajdah , Az-Zukharruf , Ad-dukkhan ,Al-Jashiya,Al-Ahqaaf
3) 3 Huroof se shuru hone wali 13 suratein hai
a) Alif laam meem(الم) se shuru hone wali 6 suratein hai :- Al baqra , Al Imraan , Al-Ankaboot , Ar-rum ,Luqmaan, alif laam meem(الم) sajdah.
b) Alif laam ra(الر) se shuru hone wali 5 suratein hai :- Yunus, hud, yusuf,ibrahim Al-Hajr
c) Ta seen meem(طسم) se shuru hone wali 2 suratein hai As-Shu'ra, Al-Qassas
4) 4 Huroof se shuru hone wali 2 suratein hai :- Al-aeraaf, Ar-raad.
5) 5 Huroof se shuru hone wali 2. Suratein hai :- Maryam , shura'a
Khulasa
1) Hamd-wa-sana :14
2) Nida :10
3) Istifhaam:6
4) Amar(Hukm):6
5)Shart :7
6) Dua:3
7) Ta-aleel:1
8) Qasam :17
9) Jumla Khabriya:21
10) Huroof :29
مفاتيح سور القرآن الكريم للأستاذ صلاح أحمد القبندي