Monday, April 20, 2020

Ramdhan ke Ahkaam wa masail (Part-1)

Ramdhan se pehle aam ma'mool ke alawah ramdhan ke isteqbal ke liye rozah rakhna mamnu hai.


Imam bukhari Rahimahullah ne kaha:
"حَدَّثَنَا مُسْلِمُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا هِشَامٌ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ أَبِي كَثِيرٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي سَلَمَةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، ‏‏‏‏‏‏عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ ""لَا يَتَقَدَّمَنَّ أَحَدُكُمْ رَمَضَانَ بِصَوْمِ يَوْمٍ أَوْ يَوْمَيْنِ، ‏‏‏‏‏‏إِلَّا أَنْ يَكُونَ رَجُلٌ كَانَ يَصُومُ صَوْمَهُ فَلْيَصُمْ ذَلِكَ الْيَوْمَ".

"Nabi  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne farmaya tum me se koi shakhs ramdhan se pehle (Sha'aban ki aakhri tareekho me) ek ya do din ke roze na rakhe albatta agar kisi ko in me roze rakhne ki aadat ho to woh us din bhi roza rakh le"
[Sahih Bukhari 1914]

Imam Tirmidhi Rahimahullah ne farmaya:
"وَقَدْ دَلَّ فِي هَذَا الْحَدِيثِ أَنَّمَا الْكَرَاهِيَةُ عَلَى مَنْ يَتَعَمَّدُ الصِّيَامَ لِحَالِ رَمَضَانَ."

 "Yeh hadees is baat par dalalat karti hai ki karahat us shakhs ke liye hai jo Amadan ramdhan ki ta'azeem me roza rakhe."

[Sunan Tirmidhi]

- Ya'ani ramdhan ke isteqbal ke liye khaas kar rozah mat rakho lekin woh rakhe jo apne ma'mool ke gine chune din roze rakhta hai aur woh din shabaan ke aakhri dino me waqiy ho jaye maslan ek aadmi mamool ke mutabiq har hafte me peer ka rozah rakhta hai ab ye peer shabaan ke aakhir me aa jaye to us me rozah rakhne me koi harj nahi.
_____


Ramdhan ka aagaz aur ikhtetam chaand dekh kar karna chahiye.


Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha:
"حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مَسْلَمَةَ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا مَالِكٌ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ نَافِعٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عُمَرَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، ‏‏‏‏‏‏أَنّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ذَكَرَ رَمَضَانَ، ‏‏‏‏‏‏فَقَالَ:‏‏‏‏ ""لَا تَصُومُوا حَتَّى تَرَوْا الْهِلَالَ، ‏‏‏‏‏‏وَلَا تُفْطِرُوا حَتَّى تَرَوْهُ، ‏‏‏‏‏‏فَإِنْ غُمَّ عَلَيْكُمْ فَاقْدُرُوا لَهُ"۔

"Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne ramdhan ka zikr kiya to farmaya ki jab tak chaand na dekho rozah shuru na karo, isi tarah jab tak chaand na dekh lo rozah mauqoof na karo aur agar baadal chha jaye to tees 30 din poore kar lo."

[Sahih Bukhari 1907]

Imam Muslim Rahimahullah ne kaha:
"حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ يَحْيَى ، وَيَحْيَى بْنُ أَيُّوبَ ، وَقُتَيْبَةُ ، وَابْنُ حُجْرٍ ، قَالَ يَحْيَى بْنُ يَحْيَى : أَخْبَرَنَا، وَقَالَ الْآخَرُونَ : حَدَّثَنَا إِسْمَاعِيلُ - وَهُوَ ابْنُ جَعْفَرٍ - عَنْ مُحَمَّدٍ - وَهُوَ ابْنُ أَبِي حَرْمَلَةَ - عَنْ كُرَيْبٍ ، أَنَّ أُمَّ الْفَضْلِ بِنْتَ الْحَارِثِ بَعَثَتْهُ إِلَى مُعَاوِيَةَ بِالشَّامِ، قَالَ : فَقَدِمْتُ الشَّامَ، فَقَضَيْتُ حَاجَتَهَا، وَاسْتُهِلَّ عَلَيَّ رَمَضَانُ، وَأَنَا بِالشَّامِ، فَرَأَيْتُ الْهِلَالَ لَيْلَةَ الْجُمُعَةِ، ثُمَّ قَدِمْتُ الْمَدِينَةَ فِي آخِرِ الشَّهْرِ، فَسَأَلَنِي عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عَبَّاسٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا، ثُمَّ ذَكَرَ الْهِلَالَ، فَقَالَ : مَتَى رَأَيْتُمُ الْهِلَالَ ؟ فَقُلْتُ : رَأَيْنَاهُ لَيْلَةَ الْجُمُعَةِ، فَقَالَ : أَنْتَ رَأَيْتَهُ ؟ فَقُلْتُ : نَعَمْ، وَرَآهُ النَّاسُ، وَصَامُوا، وَصَامَ مُعَاوِيَةُ، فَقَالَ : لَكِنَّا رَأَيْنَاهُ لَيْلَةَ السَّبْتِ، فَلَا نَزَالُ نَصُومُ حَتَّى نُكْمِلَ ثَلَاثِينَ، أَوْ نَرَاهُ، فَقُلْتُ : أَوَلَا تَكْتَفِي بِرُؤْيَةِ مُعَاوِيَةَ وَصِيَامِهِ ؟ فَقَالَ : لَا، هَكَذَا أَمَرَنَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ."

"Hazrat kurayb se riwayat hai ki Umme Fadhl bint Harith ne unhe mulke sham Saydna Muawiya رضى اللٰه عنه ke paas bheja. Woh kehte hain: "Mai ne ramdhan ul mubarak ka chand mulk shaam hi me dekha pas hum ne jumah ki raat ko chaand dekha, fir mai maheene ke aakheer me madeena munawwarah wapas aaya to hazrat Abdullah bin Abbas رضى اللٰه عنه ne mujh se sawal karte hue chaand ka zikr kiya to poocha: Tum ne chaand kab dekha tha? Mai ne arz kiya ki hum ne chand jumah ki raat ko dekha tha. Unhohne daryaft kiya: Kya tumne khud jumah ki raat ko chaand dekha tha? mai ne jawab diya: Ji haan, mai ne khud dekha tha, aur logo ne bhi chaand dekha tha aur rozah rakha aur Hazrat Ibn Abbas رضى اللٰه عنه ne farmaya: Lekin hum ne chaand hafte ki raat ko dekha tha lihaaza hum is tarah musalsal roze rakhte rakhte rahenge hatta ki tees 30 din mukammal kar len ya chaand dekh lein. To mai ne arz kiya: Kya aap Hazrat Muawiya رضى اللٰه عنه ki ruyi'yat aur un ke rozo par kifayat nahi karenge? Unhone jawab diya: Nahi, hamein Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne isi tarah hukm diya hai."

[Sahih Muslim 2528]

Imam Nawawi Rahimahullah ne is Hadees par yun baab bandha hai:
"باب بیان أن لكل بلد رؤيتهم، وأنهم إذا رأوا الهلال ببلد لا يثبت حكمه لما بعد عنهم"

"Har ilaqe ke logo ke liye apni ruyi'yat (mo'atbar) hai aur agar ek ilaaqe ke log chaand dekh lein or un se door walo ke liye uska hukm (rozo ka aagaaz ho gya) sabit nahi hoga."

Imam Ibn Khuzaymah Rahimahullah ne farmaya:
"باب الدليل على أن الواجب على أهل  كل بلدة صيام رمضان لرؤيتهم لا رؤية غيرهم"

"Is baat ki daleel ki har mulk aur shehar (city) walo ke kiye apne mulk aur shehar ki ruyi'yat (moon sighting) ke mutabik ramdhan ka roza rakhna farz hai. Doosre ilaaqe ke logo ki ruyi'yat ka aitebar nahi hoga."

[Sahih ibne Khuzaymah tahat hadees 1916]

Imam Tirmidhi Rahimahullah ne farmaya:
"ماجاء لکل أھل البلد رؤیتھم"

"Har shehar walo ke liye unhi ke chaand dekhne ka aitebaar hoga."

[Jami'e Tirmidhi tahat Hadees 693]

- Is Hadees se maloom hua ki har shehar ke log apna apna chaand dekh kar ramdhan ke roze shuru karein aue Eid ka chaand dekh kar rozah mauqoof karein is par tamaam Ulma'a ka ittefaq hai.

Imam Abi Dawood Rahimahullah ne kaha:
"حَدَّثَنَا مَحْمُودُ بْنُ خَالِدٍ، ‏‏‏‏‏‏وَعَبْدُ اللَّهِ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ السَّمْرَقَنْدِيُّ، ‏‏‏‏‏‏وَأَنَا لِحَدِيثِهِ أَتْقَنُ، ‏‏‏‏‏‏قَالَا:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا مَرْوَانُ هُوَ ابْنُ مُحَمَّدٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ وَهْبٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ يَحْيَى بْنِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ سَالِمٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي بَكْرِ بْنِ نَافِعٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِيهِ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ ابْنِ عُمَرَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏   تَرَاءَى النَّاسُ الْهِلَالَ، ‏‏‏‏‏‏فَأَخْبَرْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَنِّي رَأَيْتُهُ، ‏‏‏‏‏‏فَصَامَهُ وَأَمَرَ النَّاسَ بِصِيَامِهِ۔"

"Abdullah ibn Umar رضى اللٰه عنه kehte hain ki logo ne chand dek`hne ki koshish ki (lekin unhe nazar na aaya) aur mai ne Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ko khabar di ki mai ne use dekha hai, chunancha Aap  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne khud bhi rozah rakha aur logo ko bhi rozah rakhne ka hukm farmaya"

[Sunan Abu Dawood 2343 Isnaad sahih]

- Yeh hadees is baat ki daleel hai ki Maah e Ramdhan ka chaand dekhne ke liye waahid ya'ani ek aadmi ki shahadat gawahi maqbool hai aur jamhoor ka mazhab hai, Alhamdulillah.

To be continued....In Sha Allah

"الإسلام يَعلو ولا يعلى Islam Maghloob Nahi Balki Ghalib Hoga"

By: Mohaddis As Shaikh Zubair Ali Zai Rahimahullah Allah par yaqeen ki haqeeqat kamzoori aur museebato ke daur me zaahir hoti hai. Saah...