Tuesday, April 21, 2020

Ramdhan ke Ahkaam wa masail (Part-2)

✍️ Muhammad Huzaifa

Rozo ki farziyat aur ramdhan ki ehmiyat

Allah Ta'ala farmate hain:
"یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا کُتِبَ عَلَیۡکُمُ الصِّیَامُ کَمَا کُتِبَ عَلَی الَّذِیۡنَ مِنۡ قَبۡلِکُمۡ لَعَلَّکُمۡ تَتَّقُوۡنَ۔''

Aye Imaan walo! tum par roze rakhna farz kiya gya jis tarah tum se pehle logo par farz kiye gae the taaki tum taqwa ikhtiyar karo.
[Surah baqarah #183]

- Roza rakhne ka maqsad Allah Ta'ala ne farma diya ki insan muttaqi ban jaye kyunki roze insan ko aisi quwwat bardasht sikhata hai jis ki bina par insan apne nafs par qabu kar sakta hai. Rozah se insan aisi ashya'a se bach sakta hai jis ko Allah ta'ala ne haram qarar diya hai aur insan us se yeh sabaq leta hai ki jab waqti taur par in ashya'a se parhez aasan hai to mustaqil in haram chizo se bachna koi mushkil nahi.

Allah Tabarak Wa Ta'ala Ne Mazeed farmaya:
"فَمَنۡ شَہِدَ مِنۡکُمُ الشَّہۡرَ فَلۡیَصُمۡہُ"

Jo shakhs is maheene ko paye use roze rakhna chahiye.
[Surah baqarah #185]

Hazrat Abdullah ibn Umar رضى اللٰه عنه se marwi hai ki Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne farmaya:
Islam ki buniyad 5 ashya'a par rakhi gai hn
""وصیام رمضان"" 
(un me se ek ye hain) Ramdhan ke roze
[Sahih Bukhari #8]

Hazrat Abdullah ibn Umar رضى اللٰه عنه se marwi hai Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne farmaya:
""إذا رايتموه فصوموا""

Jab use (ya'ani ramdhan ke chand) ko dekh lo to roze rakho
[Sahih bukhari #1900]

Imam ibn Qudamah Maqdisi farmate hain:
"وأجمع المسلمون على وجوب صوم شهر رمضان۔"

Aur musalmano ka is par ijmah hai ki ramdhan ke Roze wajib hain.
[Al Mughni 2/329]

- In dalail se maloom hua ki ramdhan ke roze farz hain.
_____

Imam Tirmidhi Rahimahullah ne kaha:
"حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ الدَّوْرَقِيُّ، حَدَّثَنَا رِبْعِيُّ بْنُ إِبْرَاهِيمَ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ إِسْحَاق، عَنْ سَعِيدِ بْنِ أَبِي سَعِيدٍ الْمَقْبُرِيِّ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏۔۔۔۔۔۔رَغِمَ أَنْفُ رَجُلٍ دَخَلَ عَلَيْهِ رَمَضَانُ ثُمَّ انْسَلَخَ قَبْلَ أَنْ يُغْفَرَ لَهُ۔"

Abu huraira رضى اللٰه عنه kehte hain ki Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne farmaya..... us shakhs ki bhi naak khaak aalood ho jis ki zindagi me ramdhan ka maheena aaya aur us ki maghfirat hue begair woh maheena guzar jaye.
[Sunan At Tirmidhi 3540]

Hazrat Huzaifa رضى اللٰه عنه farmate hain: Mai ne suna Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne farmaya:
"فِتْنَةُ الرَّجُلِ فِي أَهْلِهِ، ‏‏‏‏‏‏وَمَالِهِ، ‏‏‏‏‏‏وَجَارِهِ تُكَفِّرُهَا الصَّلَاةُ، ‏‏‏‏‏‏وَالصِّيَامُ، ‏‏‏‏‏‏وَالصَّدَقَةُ"

Insan ke liye us ke baal bachche, us ka maal aur uske padosi fitna aazmaish wa imtehaan hain jiska kaffarah namaz, rozah aur sadaqah ban jata hai.
[Sahih bukhari #1895]

Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne farmaya:
"صَوْمُ ثَلَاثَةٍ مِنْ كُلِّ شَهْرٍ، وَرَمَضَانَ إِلَى رَمَضَانَ، صَوْمُ الدَّهْرِ۔"

Har maheene ke roze rakhna ramdhan ke roze rakhna ye hamesha rakhne ki tarah hai.
[Sahih muslim #2747]

Imam Nasai Rahimahullah ne kaha:
"أَخْبَرَنَا عَمْرُو بْنُ عَلِيٍّ،‏‏‏‏ عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا مَهْدِيُّ بْنُ مَيْمُونٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ أَخْبَرَنِي مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ أَبِي يَعْقُوبَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ أَخْبَرَنِي رَجَاءُ بْنُ حَيْوَةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي أُمَامَةَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ أَتَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏فَقُلْتُ:‏‏‏‏ مُرْنِي بِأَمْرٍ آخُذُهُ عَنْكَ قَالَ:‏‏‏‏  عَلَيْكَ بِالصَّوْمِ فَإِنَّهُ لَا مِثْلَ لَهُ۔"

Abu Umamah رضى اللٰه عنه kehte hain mai Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ke paas aaya, aur aap se arz kiya ki mujhe koi aisa hukm dijiye jise mai aap se barah raast akhaz karu, Aap  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne farmaya:  Apne upar rozah laazim kar lo kyunki is ke barabar koi ibadat nahi hai.
[Sunan Nasai 2225 Insnaad Sahih]

- Ya'ani shehwat ko todne aur nafs ammarah aur shaitan ko dafa'a karne ke silsile me roze ke barabar koi ibadat nahi, ya kasrat sawab me is ke barabar koi ibadat nahi.

- In riwayat se Ramdhan ul mubarak ki ehmiyat ka pata lagta hai Allah Ta'ala se dua hai ki is maah me zyadah se zyadah Amal e swaleh karne ki taufeeq ata farmaye. Aameen!

 To be continued....In Sha Allah

"الإسلام يَعلو ولا يعلى Islam Maghloob Nahi Balki Ghalib Hoga"

By: Mohaddis As Shaikh Zubair Ali Zai Rahimahullah Allah par yaqeen ki haqeeqat kamzoori aur museebato ke daur me zaahir hoti hai. Saah...