Wednesday, April 22, 2020

"Rasool صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ko hasaane wale"

Saydna Anas رضى اللٰه عنه se riwayat hai ki ek aadmi jo baadiyah ke rehne wale the, Un ka naam Zaahir bin haram رضى اللٰه عنه tha...

Woh Nabi  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ke liye dehaat se hadya (Gifts) laaya karte the aur jab woh wapas jata to rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ unhe saazo saaman diya karte the...

Aur Aap  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ farmate ki: "Zaahir Hamara Dehaati hai aur hum shehari bashinde"

Aap  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ko unse khususi lagao tha, Woh Khubsurat nahi the.

Ek dafah Zaahir رضى اللٰه عنه Nabi paak  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ke paas aaye aur apna saaman farokht (selling) kar rahe the ki Nabi  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ peeche se aaye aur Zaahir رضى اللٰه عنه ko god me le liya...

Zaahir رضى اللٰه عنه Aap  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ko dekh na paaye aur bole ki kaun hai, mujhe chhor do..

Fir peeche murh kar dekhte hain to Nabi  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ nazar aaye....
pehchaan ke baad Zaahir رضى اللٰه عنه apni kamar Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ke seene hikmat khazeena ke sath laga dete hn... Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ logo ko mukhatib ho kar farmate hain..

"Yeh Ghulaam mujh se kaon khareedega"?

Zaahir رضى اللٰه عنه ne Aap  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ki yeh baat suni to kehne lage...

Allah ki kasam Aap  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ mujhe sasta payenge

Rasool  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ ne farmaya: "Aap Allah ke nazdeek saste nahi balki aap ki bahot qadr o qeemat hai..."

(Source: Musnad Ahmad 12669, Abu Ya'ala 3456)

Laakho karoro durood o salaam sarwar do aalam Saydna Mohammad Mustafa  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ par ki jin ki Maboobana seerat ki bina par badshaah aur Ghulam sab Aap  صلى الله عليه وعلى آله وسلم‎ par jaan fida karte the....

"الإسلام يَعلو ولا يعلى Islam Maghloob Nahi Balki Ghalib Hoga"

By: Mohaddis As Shaikh Zubair Ali Zai Rahimahullah Allah par yaqeen ki haqeeqat kamzoori aur museebato ke daur me zaahir hoti hai. Saah...